ba-zahir kahin ghuncha-e-dil se mila tha
ba-zāhir kahīñ ġhuncha-e-dil se milā thā
kal us kā garebāñ-o-dast-e-qazā thā
tamannā murakHkHas huī nā-ummīdī
ye kyā ho gayā aur mere dil meñ kyā thā
jo is tarah ġhairoñ se miltā phire hai
kabhī to hamārā bhī vo āshnā thā
kahā maiñ mirā haal tum tak bhī pahuñchā
kahā tab achambhā sā kuchh maiñ sunā thā
burā.ī tirī kuchh nahīñ baat kyā hai
mirā dil hai ye mere haq meñ burā thā
tum aakar jo pahle hī mujh se mile the
nigāhoñ meñ jaadū sā kuchh kar diyā thā
balā.eñ jo kuchh us ke milne se dekhīñ
na milte to ai 'dard' us se bhalā thā
ba-zahir kahin ghuncha-e-dil se mila tha
kal us ka gareban-o-dast-e-qaza tha
tamanna murakHkHas hui na-ummidi
ye kya ho gaya aur mere dil mein kya tha
jo is tarah ghairon se milta phire hai
kabhi to hamara bhi wo aashna tha
kaha main mera haal tum tak bhi pahuncha
kaha tab achambha sa kuchh main suna tha
burai teri kuchh nahin baat kya hai
mera dil hai ye mere haq mein bura tha
tum aakar jo pahle hi mujh se mile the
nigahon mein jadu sa kuchh kar diya tha
balaen jo kuchh us ke milne se dekhin
na milte to ai 'dard' us se bhala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.