gar dekhiye to mazhar-e-asar-e-baqa hun
gar dekhiye to maz.har-e-āsār-e-baqā huuñ
aur samjhiye juuñ aks mujhe mahv-e-fanā huuñ
karatā huuñ pasaz marg bhī hal mushkil-e-ālam
be-his huuñ pe nāḳhun kī tarah uqda-kushā huuñ
mamnūn mere faiz se sab ahl-e-nazar haiñ
juuñ nuur har ik chashm kā dīdār-numā huuñ
hai asstar-e-faqr agar samjho to shāhī
sultāñ hai agar shaah to maiñ zill-e-humā huuñ
ahvāl-e-do-a.alam hai mere dil pe huvaidā
samjhā nahīñ tā-hāl par apnī ta.iiñ kyā huuñ
āvāz nahīñ qaid meñ zanjīr kī hargiz
har chand ki a.alam meñ huuñ a.alam se judā huuñ
huuñ qāfila-sālār-e-tarīqa-e-qudmā 'dard'
juuñ naqsh-e-qadam ḳhalq ko maiñ rāh-numā huuñ
gar dekhiye to mazhar-e-asar-e-baqa hun
aur samjhiye jun aks mujhe mahw-e-fana hun
karata hun pasaz marg bhi hal mushkil-e-alam
be-his hun pe naKHun ki tarah uqda-kusha hun
mamnun mere faiz se sab ahl-e-nazar hain
jun nur har ek chashm ka didar-numa hun
hai asstar-e-faqr agar samjho to shahi
sultan hai agar shah to main zill-e-huma hun
ahwal-e-do-alam hai mere dil pe huwaida
samjha nahin ta-haal par apni tain kya hun
aawaz nahin qaid mein zanjir ki hargiz
har chand ki aalam mein hun aalam se juda hun
hun qafila-salar-e-tariqa-e-qudma 'dard'
jun naqsh-e-qadam KHalq ko main rah-numa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.