khul gae zaKHmon ke munh kya jaane kya kahne ko hain
khul gae zaKHmon ke munh kya jaane kya kahne ko hain
Khwaja Nasiruddin Chishti
MORE BYKhwaja Nasiruddin Chishti
khul ga.e zaḳhmoñ ke muñh kyā jaane kyā kahne ko haiñ
kyā namak-dān-e-sitam ko be-mazā kahne ko haiñ
āshnā ākHir merī nā-āshnā.ī se to haiñ
hai ġhazab phir bhī mujhe nā-āshnā kahne ko haiñ
apnī jānib dekh kar rukH-e-nāla-e-dil-soz kā
dil jalā vo kahte kahte mubtalā kahne ko haiñ
qatl ke armān meñ ḳhuun hotī haiñ dil kī hasrateñ
kūcha-e-qātil ko ab ham karbalā kahne ko haiñ
sar na phoḌeñ apnā dīvāroñ se kyuuñ kar bul-havas
bazm-e-a.adā meñ mujhe vo āshnā ko haiñ
apnī hastī se guzar kar hast-mutlaq hoñge ham
kahte kahte al-fanā ham al-baqā kahne ko haiñ
'ālam-e-sūrat se ham yaksu-e-mā'nī meñ haiñ ġharīq
bahr-e-vahdat ke falak ko bulbulā kahne ko haiñ
ḳhaak apnī ho ga.ī iksīr pāmāl-e-sanam
aap ko ham hazrat-e-dil kīmiyā kahne ko haiñ
jalva vahdat kā dikhāyā kyā hijāb-e-nazm meñ
'nāsir' ham aap ko vahdat-numā kahne ko haiñ
khul gae zaKHmon ke munh kya jaane kya kahne ko hain
kya namak-dan-e-sitam ko be-maza kahne ko hain
aashna aakHir meri na-ashnai se to hain
hai ghazab phir bhi mujhe na-ashna kahne ko hain
apni jaanib dekh kar rukH-e-nala-e-dil-soz ka
dil jala wo kahte kahte mubtala kahne ko hain
qatl ke arman mein KHun hoti hain dil ki hasraten
kucha-e-qatil ko ab hum karbala kahne ko hain
sar na phoDen apna diwaron se kyun kar bul-hawas
bazm-e-ada mein mujhe wo aashna ko hain
apni hasti se guzar kar hast-mutlaq honge hum
kahte kahte al-fana hum al-baqa kahne ko hain
'alam-e-surat se hum yaksu-e-ma'ni mein hain ghariq
bahr-e-wahdat ke falak ko bulbula kahne ko hain
KHak apni ho gai iksir pamal-e-sanam
aap ko hum hazrat-e-dil kimiya kahne ko hain
jalwa wahdat ka dikhaya kya hijab-e-nazm mein
'nasir' hum aap ko wahdat-numa kahne ko hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.