ye to bata de bahr-e-KHuda dil
ye to batā de bahr-e-ḳhudā dil
kis kī mohabbat meñ tū jalā dil
gardish-e-chashm-e-yār meñ aakar
surma-namat nāhaq ko lipā dil
āñkhoñ se āñkheñ aaj milā kar
shoḳh sitamgar le hī uḌā dil
pech-o-ḳham gesū-e-sanam meñ
aa.ī jo shāmat jā hī phañsā dil
koī but-e-tannāz meñ jākar
dekho mirā dil DhūñDo mirā dil
us ke liye sau rañj uThā.e
par na ye kāfir apnā huā dil
zulfeñ dikhā ke chehra dikhā ke
āsāñ nahīñ hai lenā mirā dil
dil kā patā siina meñ nahīñ hai
koī sitamgar le hī uḌā dil
chup jo sadā yuuñ rahte ho 'nāsir'
sach kaho kis dilbar se lagā dil
ye to bata de bahr-e-KHuda dil
kis ki mohabbat mein tu jala dil
gardish-e-chashm-e-yar mein aakar
surma-namat nahaq ko lipa dil
aankhon se aankhen aaj mila kar
shoKH sitamgar le hi uDa dil
pech-o-KHam gesu-e-sanam mein
aai jo shamat ja hi phansa dil
koi but-e-tannaz mein jakar
dekho mera dil DhunDo mera dil
us ke liye sau ranj uThae
par na ye kafir apna hua dil
zulfen dikha ke chehra dikha ke
aasan nahin hai lena mera dil
dil ka pata sina mein nahin hai
koi sitamgar le hi uDa dil
chup jo sada yun rahte ho 'nasir'
sach kaho kis dilbar se laga dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.