mahfil-e-rindan mein jam mul ka hona chahiye
mahfil-e-rindan mein jam mul ka hona chahiye
Khwaja Nasiruddin Chishti
MORE BYKhwaja Nasiruddin Chishti
mahfil-e-rindāñ meñ jaam mul kā honā chāhiye
zohd kā qul ho chukā qulqul kā honā chāhiye
ik gul-e-dāġh-e-junūñ bas hai merī fariyād ko
bulbul-e-nālāñ ko sirf ik gul kā honā chāhiye
gulistān-e-dāġh-e-dil meñ hai ḳhayāl-e-zulf-e-yār
sahn meñ gulzār ke sumbul kā honā chāhiye
parda-e-zulmāt meñ mastūr hai āb-e-baqā
bar-sar-e-lab halqa-zan kākul kā honā chāhiye
dil hai merā nāla-zan yād-e-rukH-e-gulzār meñ
gul ke uupar nāla-e-bulbul kā honā chāhiye
qul-huvallāh ai sanam paḌhnā hamārī qabr par
turbat-e-muḳhlis pe aise qul kā honā chāhiye
rustaḳhez-e-hashr se kyā ḳhauf hai 'nāsir' tujhe
sar pe zill-e-peshvā-e-kul kā honā chāhiye
mahfil-e-rindan mein jam mul ka hona chahiye
zohd ka qul ho chuka qulqul ka hona chahiye
ek gul-e-dagh-e-junun bas hai meri fariyaad ko
bulbul-e-nalan ko sirf ek gul ka hona chahiye
gulistan-e-dagh-e-dil mein hai KHayal-e-zulf-e-yar
sahn mein gulzar ke sumbul ka hona chahiye
parda-e-zulmat mein mastur hai aab-e-baqa
bar-sar-e-lab halqa-zan kakul ka hona chahiye
dil hai mera nala-zan yaad-e-rukH-e-gulzar mein
gul ke upar nala-e-bulbul ka hona chahiye
qul-huwallah ai sanam paDhna hamari qabr par
turbat-e-muKHlis pe aise qul ka hona chahiye
rustaKHez-e-hashr se kya KHauf hai 'nasir' tujhe
sar pe zill-e-peshwa-e-kul ka hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.