falak se guzrī ga.ī tāba-lā-makāñ fariyād
pahuñch ga.ī hai kahāñ se mirī kahāñ fariyād
shab-e-firāq meñ kyā kyā mile aniis mujhe
rafīq-dard shafīq-āh mehrbāñ-fariyād
dikhā.e yaar karāmat to maiñ karūñ e.ajāz
vo be-dahan kare bāteñ maiñ be-zabāñ fariyād
ḳhamosh-e-nai kī tarh huuñ maiñ dūrī-e-lab se
jo muñh lagāo to sun lo fuġhāñ fariyād
kisī kī ḳhātir nāzuk kā jab ḳhayāl aayā
zabāñ tak aake huī zer-e-lab nihāñ fariyād
'vazīr' naale sadā-e-shikast-e-rañg se kar
vo be-dahan hai kar ab tū bhī be-zabāñ fariyād
falak se guzri gai taba-la-makan fariyaad
pahunch gai hai kahan se meri kahan fariyaad
shab-e-firaq mein kya kya mile anis mujhe
rafiq-dard shafiq-ah mehrban-fariyaad
dikhae yar karamat to main karun eajaz
wo be-dahan kare baaten main be-zaban fariyaad
KHamosh-e-nai ki tarh hun main duri-e-lab se
jo munh lagao to sun lo fughan fariyaad
kisi ki KHatir nazuk ka jab KHayal aaya
zaban tak aake hui zer-e-lab nihan fariyaad
'wazir' nale sada-e-shikast-e-rang se kar
wo be-dahan hai kar ab tu bhi be-zaban fariyaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.