kākul jo us kī sho'la-e-rukH se sarak ga.ī
kaalī ghaTā meñ saaf ye bijlī chamak ga.ī
maiñ ne jo āh-e-sard bharī us ne hañs diyā
gun kī kalī nasīm-e-sahar se chaTak ga.ī
pahuñchī na us ke kaan talak aah nā-rasā
kyā fā.eda zamīñ se agar tā-falak ga.ī
TukḌe huā hai merā garebān sabr se
añgḌā.ī lī jo yaar kī cholī masak ga.ī
ba.ad-az fanā jo qabr pe aayā vo ai 'vazīr'
phuñchāne us ko ruuh merī qabr tak ga.ī
kakul jo us ki sho'la-e-rukH se sarak gai
kali ghaTa mein saf ye bijli chamak gai
main ne jo aah-e-sard bhari us ne hans diya
gun ki kali nasim-e-sahar se chaTak gai
pahunchi na us ke kan talak aah na-rasa
kya faeda zamin se agar ta-falak gai
TukDe hua hai mera gareban sabr se
angDai li jo yar ki choli masak gai
baad-az fana jo qabr pe aaya wo ai 'wazir'
phunchane us ko ruh meri qabr tak gai
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.