kā’ba-e-abrū dikhā au but ḳhudā ke vāste
shakl-e-mizhgāñ haath uThā.e hoñ du'ā ke vāste
dast-gīroñ kā na ehsāñ zo'f ne hone diyā
haath uTh saktā nahīñ merā ’asā ke vāste
jo ki qāne’ ho vo bach jaa.e fareb-e-nafs se
daam kab sayyād phailā.e humā ke vāste
sach to ye hai aadmī sā koī ḳhud matlab nahīñ
kī 'ibādat bhī to hūr-e-mah-liqā ke vāste
ashk-e-ḳhūnī se hai gulgūñ raḳht-'uryānī 'vazīr'
ro rahā huuñ ik gul-e-rañgīñ qabā ke vāste
ka’ba-e-abru dikha au but KHuda ke waste
shakl-e-mizhgan hath uThae hon du'a ke waste
dast-giron ka na ehsan zo'f ne hone diya
hath uTh sakta nahin mera ’asa ke waste
jo ki qane’ ho wo bach jae fareb-e-nafs se
dam kab sayyaad phailae huma ke waste
sach to ye hai aadmi sa koi KHud matlab nahin
ki 'ibaadat bhi to hur-e-mah-liqa ke waste
ashk-e-KHuni se hai gulgun raKHt-'uryani 'wazir'
ro raha hun ek gul-e-rangin qaba ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.