kijiye na tang gosha-e-zulf-e-siyah ko
kījiye na tañg gosha-e-zulf-e-siyāh ko
rasta to dījiye dil-e-gum-karda raah ko
shirkat meñ āñsuoñ kī ḳharīdeñ na letīñ
rahmat ke mol bech rahā huuñ gunāh ko
parvān chaḌh rahī haiñ mirī be-gunāhiyāñ
tauba ne jab se god liyā hai gunāh ko
pachhtā.egā jo bāb-e-karam tak ḳhabar ga.ī
kah muvāḳhaza se na chheḌe gunāh ko
merī nigāh-e-shauq to jalvoñ ne chhīn lī
āñkheñ kahāñ se lā.ūñ tirī farsh-e-rāh ko
kijiye na tang gosha-e-zulf-e-siyah ko
rasta to dijiye dil-e-gum-karda rah ko
shirkat mein aansuon ki KHariden na letin
rahmat ke mol bech raha hun gunah ko
parwan chaDh rahi hain meri be-gunahiyan
tauba ne jab se god liya hai gunah ko
pachhtaega jo bab-e-karam tak KHabar gai
kah muwaKHaza se na chheDe gunah ko
meri nigah-e-shauq to jalwon ne chhin li
aankhen kahan se laun teri farsh-e-rah ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.