kis baat ka gham kis baat ka Dar pite hain aur aksar pite hain
kis baat ka gham kis baat ka Dar pite hain aur aksar pite hain
Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
Interesting Fact
اسمعٰیل آزاد قوال نے اپنی آواز دی ہے۔
kis baat kā ġham kis baat kā Dar piite haiñ aur aksar piite haiñ
ham pyāre nabī ke sadqe meñ paimāna-e-kausar piite haiñ
rindoñ kī dilerī to dekho zamzam kī banā kar piite haiñ
jannat kī ḳhabar zāhid jaane makke meñ to ghar ghar piite haiñ
har mast ke piine se pahle ka.abe kī taraf muñh hotā hai
dekho to ye kaise mai-kash haiñ masjid meñ bhī jā kar piite haiñ
sunte haiñ un ke īmāñ kā allāh nigahbāñ hotā hai
jo aap kī chashm-e-be-kHud se ai sāqī-e-kausar piite haiñ
ai hosh-o-ḳhirad ke matavālo sar-mastoñ kī mastī to dekho
tauba bhī barābar karte haiñ sahbā bhī barābar piite haiñ
us vaqt kā 'ālam kyā kahiye us vaqt kī rahmat kyā kahiye
jab sāqī-e-kausar ke mai-kash kausar se lipaT kar piite haiñ
us bazm kā har mai-kash 'anvar' āzād mujāhid hotā hai
jis bazm meñ lahrā-lahrā ke sab pīr-o-payamber piite haiñ
kis baat ka gham kis baat ka Dar pite hain aur aksar pite hain
hum pyare nabi ke sadqe mein paimana-e-kausar pite hain
rindon ki dileri to dekho zamzam ki bana kar pite hain
jannat ki KHabar zahid jaane makke mein to ghar ghar pite hain
har mast ke pine se pahle kabe ki taraf munh hota hai
dekho to ye kaise mai-kash hain masjid mein bhi ja kar pite hain
sunte hain un ke iman ka allah nigahban hota hai
jo aap ki chashm-e-be-kHud se ai saqi-e-kausar pite hain
ai hosh-o-KHirad ke matawalo sar-maston ki masti to dekho
tauba bhi barabar karte hain sahba bhi barabar pite hain
us waqt ka 'alam kya kahiye us waqt ki rahmat kya kahiye
jab saqi-e-kausar ke mai-kash kausar se lipaT kar pite hain
us bazm ka har mai-kash 'anwar' aazad mujahid hota hai
jis bazm mein lahra-lahra ke sab pir-o-payamber pite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.