Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum

Shah Akbar Danapuri

kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum

Shah Akbar Danapuri

kis ghar meñ kis hijāb meñ ai jaañ nihāñ ho tum

ham raah dekhte haiñ tumhārī kahāñ ho tum

miTne par apne naaz na ho kis tarah mujhe

maiñ huuñ vo be-nishāñ ki jis ke nishāñ ho tum

parda-darī aap na kiije gila agar

ham siina chaak karke dikhā deñ jahāñ ho tum

donoñ jagah zuhūr barābar hai aap

zarre meñ āftāb meñ yaksāñ ayaañ ho tum

ḳhālī nahīñ hai aap ke jalve se koī shai

dariyā ho aur qatroñ ke andar nihāñ ho tum

hāzir hai bazm-e-yār meñ sāmān-e-aish sab

ab kis intizār hai 'akbar' kahāñ ho tum

kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum

hum rah dekhte hain tumhaari kahan ho tum

miTne par apne naz na ho kis tarah mujhe

main hun wo be-nishan ki jis ke nishan ho tum

parda-dari ka aap na kije gila agar

hum sina chaak karke dikha den jahan ho tum

donon jagah zuhur barabar hai aap ka

zarre mein aaftab mein yaksan ayan ho tum

KHali nahin hai aap ke jalwe se koi shai

dariya ho aur qatron ke andar nihan ho tum

hazir hai bazm-e-yar mein saman-e-aish sab

ab kis ka intizar hai 'akbar' kahan ho tum

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now