kis qadar mahw-e-tamasha ho gaya
kis qadar mahv-e-tamāshā ho gayā
us kī sūrat maiñ sarāpā ho gayā
haq samajh kar pūjtā huuñ but ko maiñ
ka.aba-e-dil ab kalīsā ho gayā
dekhtā huuñ yaar ko har shakl meñ
dekhte hī dekhte kyā ho gayā
jab se dekhā un ko āñkheñ khul ga.iiñ
dīda-e-be-nūr biinā ho gayā
ab nahīñ qaabū meñ aatā dil 'azīz'
mubtalā ḳhādim 'safī' kā ho gayā
kis qadar mahw-e-tamasha ho gaya
us ki surat main sarapa ho gaya
haq samajh kar pujta hun but ko main
kaba-e-dil ab kalisa ho gaya
dekhta hun yar ko har shakl mein
dekhte hi dekhte kya ho gaya
jab se dekha un ko aankhen khul gain
dida-e-be-nur bina ho gaya
ab nahin qabu mein aata dil 'aziz'
mubtala KHadim 'safi' ka ho gaya
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 17)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.