kisi shoKH ki jab nazar ho gai
kisī shoḳh kī jab nazar ho ga.ī
ḳhudī se ḳhudī be-ḳhabar ho ga.ī
ḳhudī meñ ḳhudā kā pata mil gayā
ḳhudī se ḳhudī ko ḳhabar ho ga.ī
mirī chashm jab misl-e-nargis banī
to vo duur bīn-e-nazar ho ga.ī
huā jalva-gar haq merī shakl meñ
kidhar thī ḳhudā.ī kidhar ho ga.ī
jo 'ismat se vahdat meñ rahtī thī zaat
ye kasrat meñ vo dar badar ho ga.ī
merī 'umr haftāda saala miyāñ
ḳhayāl-e-sanam meñ basar ho ga.ī
ye 'saudā-gar' merī jo kuchh ki thī
tasadduq vo sardār par ho ga.ī
kisi shoKH ki jab nazar ho gai
KHudi se KHudi be-KHabar ho gai
KHudi mein KHuda ka pata mil gaya
KHudi se KHudi ko KHabar ho gai
meri chashm jab misl-e-nargis bani
to wo dur bin-e-nazar ho gai
hua jalwa-gar haq meri shakl mein
kidhar thi KHudai kidhar ho gai
jo 'ismat se wahdat mein rahti thi zat
ye kasrat mein wo dar badar ho gai
meri 'umr haftada sala miyan
KHayal-e-sanam mein basar ho gai
ye 'sauda-gar' meri jo kuchh ki thi
tasadduq wo sardar par ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.