koi mushkil tha mahshar mein tumhein qatil bana dena
koī mushkil thā mahshar meñ tumheñ qātil banā denā
magar kuchh soch kar rahm aa gayā jaao du'ā denā
na pūchho kam-sinī meñ tum daġhā dene kī tarkībeñ
javānī aa.egī jab ḳhud sikhā degī daġhā denā
koī apnā zamāna yaad kar ke dil bhar aayā thā
jo ab aañsū koī dekho to mahfil se uThā denā
maiñ mujrim huuñ mujhe iqrār hai jurm-e-mohabbat kā
magar pahle ḳhatā par ġhaur kar lo phir sazā denā
maiñ is hālat meñ pahuñchā hashr vaale bhī pukār aTThe
koī fariyād vaalā aa rahā hai rāsta denā
ijāzat ho to kah duuñ qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
mujhe kuchh to fasāna yaad hai kuchh tum sunā denā
'qamar' vo sab se chhup kar aa rahe haiñ fātiha paḌhne
kaheñ kis se ki merī sham'-e-furqat ko bujhā denā
koi mushkil tha mahshar mein tumhein qatil bana dena
magar kuchh soch kar rahm aa gaya jao du'a dena
na puchho kam-sini mein tum dagha dene ki tarkiben
jawani aaegi jab KHud sikha degi dagha dena
koi apna zamana yaad kar ke dil bhar aaya tha
jo ab aansu koi dekho to mahfil se uTha dena
main mujrim hun mujhe iqrar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pahle KHata par ghaur kar lo phir saza dena
main is haalat mein pahuncha hashr wale bhi pukar aTThe
koi fariyaad wala aa raha hai rasta dena
ijazat ho to kah dun qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
mujhe kuchh to fasana yaad hai kuchh tum suna dena
'qamar' wo sab se chhup kar aa rahe hain fatiha paDhne
kahen kis se ki meri sham'-e-furqat ko bujha dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.