koi duniya-e-ata mein nahin hamta tera
Interesting Fact
تضمین بر غزل مولانا احمد رضا خاں بریلوی۔
koī duniyā-e-'atā meñ nahīñ hamtā terā
ho jo hātim ko muyassar ye nazārā terā
kah uThe dekh ke baḳhshish meñ ye rutba terā
vaah kyā jūd-o-karam hai sha-e-bathā terā
nahīñ suntā hī nahīñ māñgne vaalā terā
kuchh bashar hone ke naate tujhe ḳhud-sā jāneñ
aur kuchh mahz payāmī hī ḳhudā kā jāneñ
un kī auqāt hī kyā hai ki ye itnā jāneñ
farsh vaale tirī 'azmat kā ’ulū kyā jāneñ
ḳhusravāñ 'arsh pe uḌtā hai pharerā terā
jo tasavvur meñ tirā paikar-e-zebā dekheñ
rū-e-vashshams takeñ matl.a-e-sīmā dekheñ
kyuuñ bhalā ab vo kisī aur kā chehrā dekheñ
tere qadmoñ meñ jo haiñ ġhair kā muñh kyā dekheñ
kaun nazroñ pe chaḌhe dekh ke talvā terā
mujh se nāchīz pe hai terī ināyat kitnī
tū ne har gaam pe kī merī himāyat kitnī
kyā batā.ūñ tirī rahmat meñ hai vus'at kitnī
ek meñ kyā mire 'isyāñ kī haqīqat kitnī
mujh se sau laakh ko kaafī hai ishārā terā
ka.ī pushtoñ se ġhulāmī kā ye rishta hai bahāl
yahīñ tiflī-o-javānī ke bitā.e mah-o-sāl
ab buḌhāpe meñ ḳhudā-rā hameñ yuuñ dar se na Taal
tere TukḌoñ pe pale ġhair kī Thokar pe na Daal
jhiḌkiyāñ khā.īñ kahāñ chhoḌ ke sadqa terā
ġham-e-daurāñ se jo ghabrā.iye kis se kahiye
apnī uljhan ko batlā.īye kis se kahiye
chiir kar dil kise dikhlā.iye kis se kahiye
kisī kā muñh takiye kahāñ jā.iye kis se kahiye
tere hī qadmoñ pe miT jaa.e ye paalā terā
nazar-e-'ushshāq nabī hai ye mirā harf-e-ġharīb
mimbar-e-vā’z pe laḌte raheñ aapas meñ ḳhatīb
ye 'aqīda rahe allāh kare mujh ko nasīb
maiñ to mālik hī kahūñgā ki ho mālik ke habīb
yā'nī mahbūb-o-muhib meñ nahīñ merā terā
kHūgar-e-qurbat-o-dīdār pe kaisī guzre
kyā ḳhabar us ke dil-e-zār pe kaisī guzre
hijr meñ is tire bīmār pe kaisī guzre
duur kyā jāniye bad-kār pe kaisī guzre
tere hī dar pe mere be-kas-o-tanhā terā
tujh se har chand vo haiñ qadr-o-fazā.il meñ rafī’
kar 'nasīr' aaj magar fikr-e-razā kī tausī’
zīnat-e-nutq tire us kā ho ye she'r-e-vāqī’
terī sarkār meñ laatā hai razā us ko shafī’
jo mirā ġhaus hai aur lāDlā beTā terā
koi duniya-e-'ata mein nahin hamta tera
ho jo hatim ko muyassar ye nazara tera
kah uThe dekh ke baKHshish mein ye rutba tera
wah kya jud-o-karam hai sha-e-batha tera
nahin sunta hi nahin mangne wala tera
kuchh bashar hone ke nate tujhe KHud-sa jaanen
aur kuchh mahz payami hi KHuda ka jaanen
un ki auqat hi kya hai ki ye itna jaanen
farsh wale teri 'azmat ka ’ulu kya jaanen
KHusrawan 'arsh pe uDta hai pharera tera
jo tasawwur mein tera paikar-e-zeba dekhen
ru-e-washshams taken matla-e-sima dekhen
kyun bhala ab wo kisi aur ka chehra dekhen
tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhen
kaun nazron pe chaDhe dekh ke talwa tera
mujh se nachiz pe hai teri inayat kitni
tu ne har gam pe ki meri himayat kitni
kya bataun teri rahmat mein hai wus'at kitni
ek mein kya mere 'isyan ki haqiqat kitni
mujh se sau lakh ko kafi hai ishaara tera
kai pushton se ghulami ka ye rishta hai bahaal
yahin tifli-o-jawani ke bitae mah-o-sal
ab buDhape mein KHuda-ra hamein yun dar se na Tal
tere TukDon pe pale ghair ki Thokar pe na Dal
jhiDkiyan khain kahan chhoD ke sadqa tera
gham-e-dauran se jo ghabraiye kis se kahiye
apni uljhan ko batlaiye kis se kahiye
chir kar dil kise dikhlaiye kis se kahiye
kisi ka munh takiye kahan jaiye kis se kahiye
tere hi qadmon pe miT jae ye pala tera
nazar-e-'ushshaq nabi hai ye mera harf-e-gharib
mimbar-e-wa’z pe laDte rahen aapas mein KHatib
ye 'aqida rahe allah kare mujh ko nasib
main to malik hi kahunga ki ho malik ke habib
ya'ni mahbub-o-muhib mein nahin mera tera
kHugar-e-qurbat-o-didar pe kaisi guzre
kya KHabar us ke dil-e-zar pe kaisi guzre
hijr mein is tere bimar pe kaisi guzre
dur kya jaaniye bad-kar pe kaisi guzre
tere hi dar pe mere be-kas-o-tanha tera
tujh se har chand wo hain qadr-o-fazail mein rafi’
kar 'nasir' aaj magar fikr-e-raza ki tausi’
zinat-e-nutq tere us ka ho ye she'r-e-waqi’
teri sarkar mein lata hai raza us ko shafi’
jo mera ghaus hai aur laDla beTa tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.