Sufinama

kuchh nahin ye aamad-e-fasl-e-bahaaran kuchh nahin

Zaheen Shah Taji

kuchh nahin ye aamad-e-fasl-e-bahaaran kuchh nahin

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    kuchh nahīñ ye āmad-e-fasl-e-bahārāñ kuchh nahīñ

    ye ghaTā.eñ kuchh nahīñ ye abr-e-bārāñ kuchh nahīñ

    ye havā.eñ ThanDī ThanDī ye phuvāreñ narm narm

    ye fazā-e-mast ye mastī unvāñ kuchh nahīñ

    ābshāroñ tabassum-reziyoñ aaḌ meñ

    mustaqil mausīqiyat rūh-e-larzāñ kuchh nahīñ

    vādiyāñ sarshār-e-mastī mai-kada bar-dosh hoñ

    zarra zarra ho agar jannat-ba-dāmāñ kuchh nahīñ

    ho kalīsā-e-chaman iisā nafas maryam sifat

    ye achhūte phuul ye ma.asūm kaliyāñ kuchh nahīñ

    laakh jāma-pārsā hoñ ye saman-o-yāsman

    ye riyā-e-sādagī meñ rañg-raliyāñ kuchh nahīñ

    kuchh nahīñ ye qais sāmānī-e-lailā hai fareb

    ḳhvāb-e-majnūñ muraqqa.a sumbulistāñ kuchh nahīñ

    haañ ye qalb-e-hasan dhaḌkan ye ġhunchoñ chaTak

    rañg-o-bū shauq-o-hayā ahd-o-paimāñ kuchh nahīñ

    jannatī hūroñ barzaḳh ye mahak ye nik.hateñ

    ye misālī jism vaale pāk-dāmāñ kuchh nahīñ

    hañs rahe hoñge parī-paikar guloñ aaḌ meñ

    pañkhuḌī oT meñ hogā paristāñ kuchh nahīñ

    farsh-e-gul par ishva-e-qudsī nazādān-e-chaman

    arsh-e-gul par jalva-e-rabb-e-gulistāñ kuchh nahīñ

    ye mazāhir ye manāzir hech haiñ tere baġhair

    haañ ye jannāt-e-na.īm-o-rūh-o-raihāñ kuchh nahīñ

    bahār-e-husn hai terī nazar husn-e-bahār

    nahīñ to ye gulistāñ gulistāñ kuchh nahīñ

    kuchh nahin ye aamad-e-fasl-e-bahaaran kuchh nahin

    ye ghaTaen kuchh nahin ye abr-e-baran kuchh nahin

    ye hawaen ThanDi ThanDi ye phuwaren narm narm

    ye faza-e-mast ye masti ka unwan kuchh nahin

    aabshaaron ki tabassum-reziyon ki aaD mein

    mustaqil mausiqiyat ki ruh-e-larzan kuchh nahin

    wadiyan sarshaar-e-masti mai-kada bar-dosh hon

    zarra zarra ho agar jannat-ba-daman kuchh nahin

    ho kalisa-e-chaman isa nafas maryam sifat

    ye achhute phul ye masum kaliyan kuchh nahin

    lakh jama-parsa hon ye saman-o-yasman

    ye riya-e-sadagi mein rang-raliyan kuchh nahin

    kuchh nahin ye qais samani-e-laila hai fareb

    KHwab-e-majnun ka muraqqa sumbulistan kuchh nahin

    han ye qalb-e-hasan ki dhaDkan ye ghunchon ki chaTak

    rang-o-bu shauq-o-haya ka ahd-o-paiman kuchh nahin

    jannati huron ka barzaKH ye mahak ye nikhaten

    ye misali jism wale pak-daman kuchh nahin

    hans rahe honge pari-paikar gulon ki aaD mein

    pankhuDi ki oT mein hoga paristan kuchh nahin

    farsh-e-gul par ishwa-e-qudsi nazadan-e-chaman

    arsh-e-gul par jalwa-e-rabb-e-gulistan kuchh nahin

    ye mazahir ye manazir hech hain tere baghair

    han ye jannat-e-naim-o-ruh-o-raihan kuchh nahin

    tu bahaar-e-husn hai teri nazar husn-e-bahaar

    tu nahin to ye gulistan ka gulistan kuchh nahin

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 139)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now