Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi

Parween Shakir

kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi

Parween Shakir

MORE BYParween Shakir

    kuchh to havā bhī sard thī kuchh thā tirā ḳhayāl bhī

    dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī

    baat vo aadhī raat raat vo puure chāñd

    chāñd bhī ain chait us pe tirā jamāl bhī

    sab se nazar bachā ke vo mujh ko kuchh aise dekhtā

    ek dafa to ruk ga.ī gardish-e-māh-o-sāl bhī

    dil to chamak sakegā kyā phir bhī tarāsh ke dekh leñ

    shīsha-girān-e-shahr ke haath ye kamāl bhī

    us ko na sake the jab dil ajiib haal thā

    ab jo palaT ke dekhiye baat thī kuchh muhāl bhī

    merī talab thā ek shaḳhs vo jo nahīñ milā to phir

    haath duā se yuuñ girā bhuul gayā savāl bhī

    us suḳhan-tarāziyāñ mere liye bhī Dhaal thiiñ

    us hañsī meñ chhup gayā apne ġhamoñ haal bhī

    gaah qarīb-e-shāh-rag gaah ba’īd-e-vahm-o-ḳhvāb

    us rafāqatoñ meñ raat hijr bhī thā visāl bhī

    us ke bāzuoñ meñ aur us ko sochte rahe

    jism ḳhvāhishoñ pe the ruuh ke aur jaal bhī

    shaam nā-samajh havā pūchh rahī hai ik patā

    mauj-e-havā-e-kū-e-yār kuchh to mirā ḳhayāl bhī

    kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi

    dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi

    baat wo aadhi raat ki raat wo pure chand ki

    chand bhi ain chait ka us pe tera jamal bhi

    sab se nazar bacha ke wo mujh ko kuchh aise dekhta

    ek dafa to ruk gai gardish-e-mah-o-sal bhi

    dil to chamak sakega kya phir bhi tarash ke dekh len

    shisha-giran-e-shahr ke hath ka ye kamal bhi

    us ko na pa sake the jab dil ka ajib haal tha

    ab jo palaT ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi

    meri talab tha ek shaKHs wo jo nahin mila to phir

    hath dua se yun gira bhul gaya sawal bhi

    us ki suKHan-taraaziyan mere liye bhi Dhaal thin

    us ki hansi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi

    gah qarib-e-shah-rag gah ba’id-e-wahm-o-KHwab

    us ki rafaqaton mein raat hijr bhi tha visal bhi

    us ke hi bazuon mein aur us ko hi sochte rahe

    jism ki KHwahishon pe the ruh ke aur jal bhi

    sham ki na-samajh hawa puchh rahi hai ek pata

    mauj-e-hawa-e-ku-e-yar kuchh to mera KHayal bhi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now