kya tha jo ghaDi-bhar ko tum lauT ke aa jate
kyā thā jo ghaḌī-bhar ko tum lauT ke aa jaate
bīmār-e-mohabbat ko sūrat to dikhā jaate
itnā to karam karte dukh-dard mujhe de kar
ik baar mire aañsū dāman se sukhā jaate
phir dard-e-judā.ī ko mahsūs na maiñ karatā
achchhā thā agar mujh ko dīvāna banā jaate
mujh par ġham-e-furqat kī tohmat na kabhī lagtī
āñkhoñ meñ agar apnī tasvīr basā jaate
phir un se 'fanā' mujh ko rahtā na gila koī
darmāñ na mirā karte dīdār karā jaate
kya tha jo ghaDi-bhar ko tum lauT ke aa jate
bimar-e-mohabbat ko surat to dikha jate
itna to karam karte dukh-dard mujhe de kar
ek bar mere aansu daman se sukha jate
phir dard-e-judai ko mahsus na main karata
achchha tha agar mujh ko diwana bana jate
mujh par gham-e-furqat ki tohmat na kabhi lagti
aankhon mein agar apni taswir basa jate
phir un se 'fana' mujh ko rahta na gila koi
darman na mera karte didar kara jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.