kya chiz hai nisbat koi puchhe mere ji se
kyā chiiz hai nisbat koī pūchhe mere jī se
martā huuñ usī ke liye jiitā huuñ usī se
ik baar guzar jā۔ūñ jo maiñ apnī ḳhudī se
ho diid kā shikvā tire jalvoñ ko mujhī se
baḌhī hī chalī jaatī hai vāraftagī-e-dil dil
ho jaatī hai ik baar mohabbat jo kisī se
sau baar vo milte haiñ magar phir nahīñ milte
niklī nahīñ milne kī tamannā mere jī se
paanī kī harārat kā zarā sho.abada dekho
dil un kā pasījā mirī āñkhoñ kī namī se
vo jis ko batāte haiñ bigaḌne nahīñ dete
be-fikr huuñ andeshā-e-be-rāh-ravī se
vo thaam rahe haiñ mujhe har laġhzish-e-pā par
vābasta to rakhā mirī laġhzish ne kisī se
sar tā ba-qadam ā.īna-e-yār huuñ 'kāmil'
kaunain meñ har jalva numāyāñ hai mujhī se
kya chiz hai nisbat koi puchhe mere ji se
marta hun usi ke liye jita hun usi se
ek bar guzar ja۔un jo main apni KHudi se
ho did ka shikwa tere jalwon ko mujhi se
baDhi hi chali jati hai waraftagi-e-dil dil
ho jati hai ek bar mohabbat jo kisi se
sau bar wo milte hain magar phir nahin milte
nikli nahin milne ki tamanna mere ji se
pani ki hararat ka zara shoabada dekho
dil un ka pasija meri aankhon ki nami se
wo jis ko batate hain bigaDne nahin dete
be-fikr hun andesha-e-be-rah-rawi se
wo tham rahe hain mujhe har laghzish-e-pa par
wabasta to rakha meri laghzish ne kisi se
sar ta ba-qadam aaina-e-yar hun 'kaamil'
kaunain mein har jalwa numayan hai mujhi se
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 261)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.