kya-kya the aur kya-kya ho
kyā-kyā the aur kyā-kyā ho
tum bhī ek tamāsha ho
ba.ad-e-fanā jo zinda ho
piir ke aage murdā ho
nafs usī kā sīdhā ho
haath meñ jiske juutā ho
bande ho yā maulā ho
mere rab ho mirzā ho
aap hasīn-o-zebā ho
yaar magar be-parvā ho
dariyā simTe qatra ho
qatra phaile dariyā ho
ġhaur se dekho biinā ho
maiñ kyā huuñ aur tum kyā ho
bāzī-e-ishq nahīñ mahmil
jhūTā khele sachchā ho
merī to phūTīñ āñkheñ
gar koī tum sā dekhā ho
jo na yahāñ dekhe tum ko
mahshar meñ bhī andhā ho
hamne donoñ ko chhoḌā
uqbā ho yā duniyā ho
nafs tujhe maiñ kyā kosūñ
jā terā muñh kaalā ho
vahī ḳhudā ko paatā hai
ḳhud ko jisne khoyā ho
āñkhoñ meñ aisā vo samā.ae
jis ko dekho dhoka ho
nafs ko kījiye jitnā raast
misl-e-sag-e-dum TeḌhā ho
qaid se jo āzād huā
terā ho na merā ho
āshiq us ko kahte haiñ
apnī dhun kā pakkā ho
uryānī meñ laus kahāñ
dāman ho to dhabba ho
uljho tum jitnā suljhā.eñ
aap bhī gorakh-dhandā ho
aadam kā kyā bigḌe hai
naqsha bigḌe ḳhāka ho
insāñ hai go musht-e-ḳhāk
har sahrā meñ anqā ho
apne mohammad se kam hai
iisā ho yā muusā ho
jis ko kah deñ aap burā
buroñ meñ vo bhī achchhā ho
ishq meñ nāseh bhī hai dost
kare nasīhat duunā ho
jiskā nafs bane kāhil
us kī daal meñ kaalā ho
kuchh bhī nahīñ gar ho 'ulvī'
sab kuchh ho gar mirzā ho
kya-kya the aur kya-kya ho
tum bhi ek tamasha ho
baad-e-fana jo zinda ho
pir ke aage murda ho
nafs usi ka sidha ho
hath mein jiske juta ho
bande ho ya maula ho
mere rab ho mirza ho
aap hasin-o-zeba ho
yar magar be-parwa ho
dariya simTe qatra ho
qatra phaile dariya ho
ghaur se dekho bina ho
main kya hun aur tum kya ho
bazi-e-ishq nahin mahmil
jhuTa khele sachcha ho
meri to phuTin aankhen
gar koi tum sa dekha ho
jo na yahan dekhe tum ko
mahshar mein bhi andha ho
hamne donon ko chhoDa
uqba ho ya duniya ho
nafs tujhe main kya kosun
ja tera munh kala ho
wahi KHuda ko pata hai
KHud ko jisne khoya ho
aankhon mein aisa wo samaae
jis ko dekho dhoka ho
nafs ko kijiye jitna rast
misl-e-sag-e-dum TeDha ho
qaid se jo aazad hua
tera ho na mera ho
aashiq us ko kahte hain
apni dhun ka pakka ho
uryani mein laus kahan
daman ho to dhabba ho
uljho tum jitna suljhaen
aap bhi gorakh-dhanda ho
aadam ka kya bigDe hai
naqsha bigDe KHaka ho
insan hai go musht-e-KHak
har sahra mein anqa ho
apne mohammad se kam hai
isa ho ya musa ho
jis ko kah den aap bura
buron mein wo bhi achchha ho
ishq mein naseh bhi hai dost
kare nasihat duna ho
jiska nafs bane kahil
us ki dal mein kala ho
kuchh bhi nahin gar ho 'ulwi'
sab kuchh ho gar mirza ho
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 325)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.