kya nazar mujh par na Dali jaegi
kya nazar mujh par na Dali jaegi
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
kyā nazar mujh par na Daalī jā.egī
kyā mirī fariyād ḳhālī jā.egī
yuuñ nazar to mujh par Daalī jā.egī
jab maiñ dekhūñgā haTā lī jā.egī
aa rahā hai jhūmtā vo mast-e-nāz
ab tabī'at kyā sambhālī jā.egī
laakh ho bahr-e-mohabbat pur-ḳhatar
kashti-e-dil us meñ Daalī jā.egī
haaye aise meñ hai tū saaqī kahāñ
kyā bharī-barsāt ḳhālī jā.egī
ġhair kī māneñge be-chūñ-charā
maiñ kahūñgā fī nikālī jā.egī
kya nazar mujh par na Dali jaegi
kya meri fariyaad KHali jaegi
yun nazar to mujh par Dali jaegi
jab main dekhunga haTa li jaegi
aa raha hai jhumta wo mast-e-naz
ab tabi'at kya sambhaali jaegi
lakh ho bahr-e-mohabbat pur-KHatar
kashti-e-dil us mein Dali jaegi
haye aise mein hai tu saqi kahan
kya bhari-barsat KHali jaegi
ghair ki manenge be-chun-chara
main kahunga fi nikali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.