kya salat-o-som-o-sajda aur kya iman ka tol
kyā salāt-o-som-o-sajda aur kyā īmāñ kā tol
ik nigāh-e-nāz-e-jānāna hai kul aalam kā mol
kis se ab shikve kareñ kis ko sunā.eñ hāl-e-dil
jaal meñ ḳhud phañs ga.e ham sun ke mīThe mīThe bol
ab bhalā kyā fā.eda chhupne se ai jān-e-jahāñ
baj rahā hai terī vahdat kā zamāna bhar meñ Dhol
bārgāh-e-husn kā 'kāvish' yahi dastūr hai
chuum le qadmoñ ko baḌh kar aur zabāñ se kuchh na bol
kya salat-o-som-o-sajda aur kya iman ka tol
ek nigah-e-naz-e-jaanana hai kul aalam ka mol
kis se ab shikwe karen kis ko sunaen haal-e-dil
jal mein KHud phans gae hum sun ke miThe miThe bol
ab bhala kya faeda chhupne se ai jaan-e-jahan
baj raha hai teri wahdat ka zamana bhar mein Dhol
bargah-e-husn ka 'kawish' yahi dastur hai
chum le qadmon ko baDh kar aur zaban se kuchh na bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.