kyuñ jal gayā na tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
kyuuñ jal gayā na tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
jaltā huuñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar
ātish-parast kahte haiñ ahl-e-jahāñ mujhe
sargarm-e-nāla-hā-e-sharar-bār dekh kar
kyā ābrū-e-ishq jahāñ aam ho jafā
ruktā huuñ tum ko be-sabab āzār dekh kar
aatā hai mere qatl ko par josh-e-rashk se
martā huuñ us ke haath meñ talvār dekh kar
sābit huā hai gardan-e-mīnā pe ḳhūn-e-ḳhalq
larze hai mauj-e-mai tirī raftār dekh kar
vā-hasratā ki yaar ne khīñchā sitam se haath
ham ko harīs-e-lazzat-e-āzār dekh kar
bik jaate haiñ ham aap matā-e-suḳhan ke saath
lekin ayār-e-taba.a-e-ḳharīdār dekh kar
zunnār bāñdh sub.ha-e-sad-dāna toḌ Daal
rah-rau chale hai raah ko hamvār dekh kar
in ābloñ se paañv ke ghabrā gayā thā maiñ
jī ḳhush huā hai raah ko pur-ḳhār dekh kar
kyā bad-gumāñ hai mujh se ki ā.īne meñ mire
tuutī kā aks samjhe hai zañgār dekh kar
girnī thī ham pe barq-e-tajallī na tuur par
dete haiñ baada zarf-e-qadah-ḳhvār dekh kar
sar phoḌnā vo 'ġhālib'-e-shorīda haal kā
yaad aa gayā mujhe tirī dīvār dekh kar
kyuñ jal gayā na tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
jaltā huñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar
ātish-parast kahte haiñ ahl-e-jahāñ mujhe
sargarm-e-nāla-hā-e-sharar-bār dekh kar
kyā ābrū-e-ishq jahāñ aam ho jafā
ruktā huñ tum ko be-sabab āzār dekh kar
aatā hai mere qatl ko par josh-e-rashk se
martā huñ us ke hath meñ talwār dekh kar
sābit huā hai gardan-e-mīnā pe ḳhūn-e-ḳhalq
larze hai mauj-e-mai tirī raftār dekh kar
wā-hasratā ki yar ne khīñchā sitam se hath
hum ko harīs-e-lazzat-e-āzār dekh kar
bik jate haiñ hum aap matā-e-suḳhan ke sath
lekin ayār-e-taba-e-ḳharīdār dekh kar
zunnār bāñdh subha-e-sad-dāna toḌ Dal
rah-rau chale hai rah ko hamwār dekh kar
in ābloñ se pañw ke ghabrā gayā thā maiñ
jī ḳhush huā hai rah ko pur-ḳhār dekh kar
kyā bad-gumāñ hai mujh se ki āīne meñ mere
tutī kā aks samjhe hai zañgār dekh kar
girnī thī hum pe barq-e-tajallī na tur par
dete haiñ baada zarf-e-qadah-ḳhwār dekh kar
sar phoḌnā wo 'ġhālib'-e-shorīda haal kā
yaad aa gayā mujhe tirī dīwār dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.