Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

lāzim thā ki dekho mirā rastā koī din aur

Mirza Ghalib

lāzim thā ki dekho mirā rastā koī din aur

Mirza Ghalib

lāzim thā ki dekho mirā rastā koī din aur

tanhā ga.e kyuuñ ab raho tanhā koī din aur

miT jā.egā sar gar tirā patthar na ghisegā

huuñ dar pe tire nāsiya-farsā koī din aur

aa.e ho kal aur aaj kahte ho ki jā.ūñ

maanā ki hamesha nahīñ achchhā koī din aur

jaate hue kahte ho qayāmat ko mileñge

kyā ḳhuub qayāmat hai goyā koī din aur

haañ ai falak-e-pīr javāñ thā abhī aarif

kyā terā bigaḌtā jo na martā koī din aur

tum māh-e-shab-e-chār-dahum the mire ghar ke

phir kyuuñ na rahā ghar vo naqshā koī din aur

tum kaun se the aise khare dād-o-sitad ke

kartā malak-ul-maut taqāzā koī din aur

mujh se tumheñ nafrat sahī nayyar se laḌā.ī

bachchoñ bhī dekhā na tamāshā koī din aur

guzrī na ba-har-hāl ye muddat ḳhush o nā-ḳhush

karnā thā javāñ-marg guzārā koī din aur

nādāñ ho jo kahte ho ki kyuuñ jiite haiñ 'ġhālib'

qismat meñ hai marne tamannā koī din aur

lāzim thā ki dekho mirā rastā koī din aur

tanhā gae kyuñ ab raho tanhā koī din aur

miT jāegā sar gar tirā patthar na ghisegā

huñ dar pe tere nāsiya-farsā koī din aur

aae ho kal aur aaj kahte ho ki jāūñ

manā ki hamesha nahīñ achchhā koī din aur

jate hue kahte ho qayāmat ko mileñge

kyā ḳhub qayāmat hai goyā koī din aur

hañ ai falak-e-pīr jawāñ thā abhī aarif

kyā terā bigaḌtā jo na martā koī din aur

tum māh-e-shab-e-chār-dahum the mere ghar ke

phir kyuñ na rahā ghar wo naqshā koī din aur

tum kaun se the aise khare dād-o-sitad ke

kartā malak-ul-maut taqāzā koī din aur

mujh se tumheñ nafrat sahī nayyar se laḌāī

bachchoñ bhī dekhā na tamāshā koī din aur

guzrī na ba-har-hāl ye muddat ḳhush o nā-ḳhush

karnā thā jawāñ-marg guzārā koī din aur

nādāñ ho jo kahte ho ki kyuñ jite haiñ 'ġhālib'

qismat meñ hai marne tamannā koī din aur

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now