la-makan chhup na saka yar tumhaara humse
lā-makāñ chhup na sakā yaar tumhārā ham se
ab to har aan milā karte ho har-jā ham se
chhupte ho sāmne ke sāmne kyā kyā ham se
vaah jī bhuul bhaliyāñ kā tamāsha ham se
dekhne vaale tumheñ dekhte haiñ har shai meñ
ab ye batlāo kahāñ chhupte ho kis jā ham se
be-hijābī ne kiyā hai tumheñ ḳhud parde meñ
haiñ pūchhe to sahī aap kā parvā ham se
avval āḳhir ho tumhīñ zāhir-o-bātin ho tumhīñ
lā-makāñ kahte ho kyuuñ apnā Thikāna ham se
lan-tarānī na sunī aap kī uḌ-bāzoñ ne
na chhupā aap kā āḳhir ko tajallā ham se
ik zamāna thā use DhūñDhte the ham 'ġhausī'
ab to apnā hī pata ḳhud nahīñ chaltā ham se
la-makan chhup na saka yar tumhaara hum se
ab to har aan mila karte ho har-ja hum se
chhupte ho samne ke samne kya kya hum se
wah ji bhul bhaliyan ka tamasha hum se
dekhne wale tumhein dekhte hain har shai mein
ab ye batlao kahan chhupte ho kis ja hum se
be-hijabi ne kiya hai tumhein KHud parde mein
hain puchhe to sahi aap ka parwa hum se
awwal aaKHir ho tumhin zahir-o-baatin ho tumhin
la-makan kahte ho kyun apna Thikana hum se
lan-tarani na suni aap ki uD-bazon ne
na chhupa aap ka aaKHir ko tajalla hum se
ek zamana tha use DhunDhte the hum 'ghausi'
ab to apna hi pata KHud nahin chalta hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.