Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

laraztā hai mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ par

Mirza Ghalib

laraztā hai mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ par

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    laraztā hai mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ par

    maiñ huuñ vo qatra-e-shabnam ki ho ḳhār-e-bayābāñ par

    na chhoḌī hazrat-e-yūsuf ne yaañ bhī ḳhāna-ārā.ī

    safedī dīda-e-yāqūb phirtī hai zindāñ par

    fanā tālīm-e-dars-e-be-ḳhudī huuñ us zamāne se

    ki majnūñ laam alif likhtā thā dīvār-e-dabistāñ par

    farāġhat kis qadar rahtī mujhe tashvīsh-e-marham se

    baham gar sulh karte pāra-hā-e-dil namak-dāñ par

    nahīñ iqlīm-e-ulfat meñ koī tūmār-e-nāz aisā

    ki pusht-e-chashm se jis na hove mohr unvāñ par

    mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-ālūda yaad aayā

    ki furqat meñ tirī ātish barastī thī gulistāñ par

    ba-juz parvāz-e-shauq-e-nāz kyā baaqī rahā hogā

    qayāmat ik havā-e-tund hai ḳhāk-e-shahīdāñ par

    na laḌ nāseh se 'ġhālib' kyā huā gar us ne shiddat

    hamārā bhī to āḳhir zor chaltā hai garebāñ par

    dil-e-ḳhūnīñ-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaġhnī

    ilāhī yak qayāmat ḳhāvar aa TuuTe badaḳhshāñ par

    'asad' ai be-tahammul arbada be-jā hai nāseh se

    ki āḳhir be-kasoñ zor chaltā hai garebāñ par

    laraztā hai mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ par

    maiñ huñ wo qatra-e-shabnam ki ho ḳhār-e-bayābāñ par

    na chhoḌī hazrat-e-yūsuf ne yañ bhī ḳhāna-ārāī

    safedī dīda-e-yāqūb phirtī hai zindāñ par

    fanā tālīm-e-dars-e-be-ḳhudī huñ us zamāne se

    ki majnūñ lam alif likhtā thā dīwār-e-dabistāñ par

    farāġhat kis qadar rahtī mujhe tashwīsh-e-marham se

    baham gar sulh karte pāra-hā-e-dil namak-dāñ par

    nahīñ iqlīm-e-ulfat meñ koī tūmār-e-nāz aisā

    ki pusht-e-chashm se jis na howe mohr unwāñ par

    mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-ālūda yaad aayā

    ki furqat meñ tirī ātish barastī thī gulistāñ par

    ba-juz parwāz-e-shauq-e-nāz kyā baqī rahā hogā

    qayāmat ek hawā-e-tund hai ḳhāk-e-shahīdāñ par

    na laḌ nāseh se 'ġhālib' kyā huā gar us ne shiddat

    hamārā bhī to āḳhir zor chaltā hai garebāñ par

    dil-e-ḳhūnīñ-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaġhnī

    ilāhī yak qayāmat ḳhāwar aa TuTe badaḳhshāñ par

    'asad' ai be-tahammul arbada be-jā hai nāseh se

    ki āḳhir be-kasoñ zor chaltā hai garebāñ par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now