hairat-e-ishq nahin shauq-e-junun gosh nahin
hairat-e-'ishq nahīñ shauq-e-junūñ gosh nahīñ
be-hijābāna chale aao mujhe hosh nahīñ
riñd jo mujh ko samajhte haiñ unheñ hosh nahīñ
mai-kada saaz huuñ mai-kada bardosh nahīñ
kah ga.ī kaan meñ aa kar tere dāman kī havā
sāhib-e-hosh vahī hai ki jise hosh nahīñ
kabhī un madh-bharī āñkhoñ se piyā thā ik jaam
aaj tak hosh nahīñ hosh nahīñ hosh nahīñ
mahv-e-tasbīh to sab haiñ magar idrāk kahāñ
zindagī ḳhud hī 'ibādat hai magar hosh nahīñ
mil ke jis din se gayā koī ek baar 'jigar'
mujh ko ye vahm hai jaise merā āġhosh nahīñ
hairat-e-'ishq nahin shauq-e-junun gosh nahin
be-hijabana chale aao mujhe hosh nahin
rind jo mujh ko samajhte hain unhen hosh nahin
mai-kada saz hun mai-kada bardosh nahin
kah gai kan mein aa kar tere daman ki hawa
sahib-e-hosh wahi hai ki jise hosh nahin
kabhi un madh-bhari aankhon se piya tha ek jam
aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin
mahw-e-tasbih to sab hain magar idrak kahan
zindagi KHud hi 'ibaadat hai magar hosh nahin
mil ke jis din se gaya koi ek bar 'jigar'
mujh ko ye wahm hai jaise mera aaghosh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.