ghairon se mil ke humse kahan tak chhupaega
ġhairoñ se mil ke ham se kahāñ tak chhupā.egā
bosoñ kā niil muñh ke chhupā.e na jā.egā
hogī bahār-e-bāġh phir apnī nigāh meñ
parda jo apne ruḳh se vo gul-rū uThā.egā
jo jo karo sitam vo sanam sab saheñge ham
ġhairoñ se milnā ham se to dekhā na jā.egā
khātā huuñ roz ġham to samajhtā huuñ maiñ ki bas
ġham ek din zarūr mire dil ko khā.egā
ai ham-damoñ phireñge hamāre bhī din kabhī
kab tak hameñ ye gumbad-e-gardūñ satā.egā
mahshar bapā kiyā hai dil-e-be-qarār ne
naala ye merā 'arsh-e-mua'allā pe jā.egā
ik dam meñ sar-kashī use dikhlā.egī 'adam
koī agar habāb-sifat sar uThā.egā
ho jā.egī dobāra mujhe zindagī nasīb
qāsid ḳhabar jo us gul-e-rā'anā kī lā.egā
naama likheñge un ko to 'jauhar' likheñge kyā
daftar hai shauq-e-yār kā likkhā na jā.egā
ghairon se mil ke hum se kahan tak chhupaega
boson ka nil munh ke chhupae na jaega
hogi bahaar-e-bagh phir apni nigah mein
parda jo apne ruKH se wo gul-ru uThaega
jo jo karo sitam wo sanam sab sahenge hum
ghairon se milna hum se to dekha na jaega
khata hun roz gham to samajhta hun main ki bas
gham ek din zarur mere dil ko khaega
ai ham-damon phirenge hamare bhi din kabhi
kab tak hamein ye gumbad-e-gardun sataega
mahshar bapa kiya hai dil-e-be-qarar ne
nala ye mera 'arsh-e-mua'alla pe jaega
ek dam mein sar-kashi use dikhlaegi 'adam
koi agar habab-sifat sar uThaega
ho jaegi dobara mujhe zindagi nasib
qasid KHabar jo us gul-e-ra'ana ki laega
nama likhenge un ko to 'jauhar' likhenge kya
daftar hai shauq-e-yar ka likkha na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.