ye kaise baal bikhre hain bani surat hai kyun gham ki
ye kaise baal bikhre haiñ banī sūrat hai kyuuñ ġham kī
ḳhabar paa.ī hai batlāo to kis dushman ke mātam kī
sahr kī yaad ne jhoñkā diyā ghar chal diyā vo but
muazzin ne azaañ dete hī bazm-e-’aish barham kī
na vo chashm-e-'ināyat hai na kuchh mehr-o-mohabbat hai
ḳhatā kyā ho ga.ī sāheb mohabbat kis liye kam kī
bañdhe haiñ taar ashkoñ ke kisī kī yaad meñ hamdam
'ajab hālat hai girya se hamāre chashm-e-pur-nam kī
nahīñ hai aap kā saanī hasīñ koī hasīnoñ meñ
tumhāre dam hī raunaq hai ai jaañ bazm-e-ālam kī
guloñ kī ham-nashīnī kā mazā paayā ye 'ālam meñ
ki sūrat ek sī miltī hai un ashkoñ se shabnam kī
fanā par yā baqā par kyā kareñ ham ġhaur ai hamdam
habāb-āsā hameñ is jā nahīñ fursat hai ik dam kī
hilāl-e-'īd kā naqsha mujhe goyā nazar aayā
tumhārī teġh-e-kHūñ-afshāñ jo mere sar pe aa chamkī
kisī bedād-gar ko dil to de baiThe nahīñ 'jauhar'
nahīñ kyuuñ shakl majnūñ kī ye sūrat kyuuñ banī ġham kī
ye kaise baal bikhre hain bani surat hai kyun gham ki
KHabar pai hai batlao to kis dushman ke matam ki
sahr ki yaad ne jhonka diya ghar chal diya wo but
muazzin ne azan dete hi bazm-e-’aish barham ki
na wo chashm-e-'inayat hai na kuchh mehr-o-mohabbat hai
KHata kya ho gai saheb mohabbat kis liye kam ki
bandhe hain tar ashkon ke kisi ki yaad mein hamdam
'ajab haalat hai girya se hamare chashm-e-pur-nam ki
nahin hai aap ka sani hasin koi hasinon mein
tumhaare dam hi raunaq hai ai jaan bazm-e-alam ki
gulon ki ham-nashini ka maza paya ye 'alam mein
ki surat ek si milti hai un ashkon se shabnam ki
fana par ya baqa par kya karen hum ghaur ai hamdam
habab-asa hamein is ja nahin fursat hai ek dam ki
hilal-e-'id ka naqsha mujhe goya nazar aaya
tumhaari tegh-e-kHun-afshan jo mere sar pe aa chamki
kisi bedad-gar ko dil to de baiThe nahin 'jauhar'
nahin kyun shakl majnun ki ye surat kyun bani gham ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.