madrase mein aashiqon ke jis ki bismillah ho
madrase mein aashiqon ke jis ki bismillah ho
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
madrase meñ āshiqoñ ke jis kī bismillāh ho
us kā pahlā hī sabaq yaaro fanā fillāh ho
ye sabaq tūlānī aisā hai ke āḳhir ho na ho
be-nihāyat ko nihāyat kaise yā-rabba ho
dūsrā phir ho sabaq ilmul-fanā kā intifā
ya.anī us apnī fanā se kuchh na vo āgāh ho
dauḌ aake tab chale jab joḌ pīchhe ho madad
us daqīqe ko vahī pahuñche jo haq āgāh ho
tīsrā us kā sabaq hai phir ke aanā is taraf
ab baqā billāh hāsil us ko ḳhātir-ḳhvāh ho
vo bhī aajiz ho ga.e mushkil hai jin kā rabt-o-zabt
hāfiz-o-mullāh yahāñ par kab dalīl-e-rāh ho
hazrat-e-ishq aap hoveñ gar mudarris chand roz
phir to ilm-e-faqr kī tahsīl ḳhātir-ḳhvāh ho
ik tavajjoh aap kī vāfī-o-kāfī hai hameñ
kaisā hī qissa ho tūlānī to vo kotāh ho
ai 'niyāz' apne to jo kuchh ho tumhīñ ho bas faqat
hazrat-e-ishq aap ho aur aap dāmallāh ho
madrase mein aashiqon ke jis ki bismillah ho
us ka pahla hi sabaq yaro fana fillah ho
ye sabaq tulani aisa hai ke aaKHir ho na ho
be-nihayat ko nihayat kaise ya-rabba ho
dusra phir ho sabaq ilmul-fana ka intifa
yani us apnī fana se kuchh na wo aagah ho
dauD aake tab chale jab joD pichhe ho madad
us daqiqe ko wahi pahunche jo haq aagah ho
tisra us ka sabaq hai phir ke aana is taraf
ab baqa billah hasil us ko KHatir-KHwah ho
wo bhi aajiz ho gae mushkil hai jin ka rabt-o-zabt
hafiz-o-mullah yahan par kab dalil-e-rah ho
hazrat-e-ishq aap howen gar mudarris chand roz
phir to ilm-e-faqr ki tahsil KHatir-KHwah ho
ek tawajjoh aap ki wafi-o-kafi hai hamein
kaisā hi qissa ho tulani to wo kotah ho
ai 'niyaz' apne to jo kuchh ho tumhin ho bas faqat
hazrat-e-ishq aap ho aur aap damallah ho
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 150)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.