mahfil se unki sainkaDon pi kar nikal gae
mahfil se unki sainkaDon pi kar nikal gae
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
mahfil se un kī saiñkaḌoñ pī kar nikal ga.e
mujh se milī jo aañkh to tevar badal ga.e
vo aisī qātilāna adāoñ meñ Dhal ga.e
zaḳhmī kiyā jo dil to kaleja masal ga.e
kuchh is tarah vo ham se bhī tevar badal ga.e
armān-o-ārzū ke janāze nikal ga.e
qismat bhiri to phir ga.e ahbāb is tarah
dekhā mujhe to duur se rasta badal ga.e
kyā sham-e-anjuman pe jalāne kā ittihām
jalnā hī thā nasīb meñ parvāne jal ga.e
dil ham se le ke un kī nigāheñ badal ga.iiñ
dhokā diyā fareb kiyā chaal chal ga.e
thakne lage jo paañv to yuuñ raah tai huī
is anjuman meñ ahl-e-vafā sar ke bal ga.e
is āstān-e-nāz kā jab tazkira huā
merī jabīn-e-shauq meñ sajde machal ga.e
un kā jamāl dekh ke dekhā jo ai 'nasīr'
qalb-o-nigāh husn ke sāñche meñ Dhal ga.e
mahfil se un ki sainkaDon pi kar nikal gae
mujh se mili jo aankh to tewar badal gae
wo aisi qatilana adaon mein Dhal gae
zaKHmi kiya jo dil to kaleja masal gae
kuchh is tarah wo hum se bhi tewar badal gae
arman-o-arzu ke janaze nikal gae
qismat bhiri to phir gae ahbab is tarah
dekha mujhe to dur se rasta badal gae
kya sham-e-anjuman pe jalane ka ittiham
jalna hi tha nasib mein parwane jal gae
dil hum se le ke un ki nigahen badal gain
dhoka diya fareb kiya chaal chal gae
thakne lage jo panw to yun rah tai hui
is anjuman mein ahl-e-wafa sar ke bal gae
is aastan-e-naz ka jab tazkira hua
meri jabin-e-shauq mein sajde machal gae
un ka jamal dekh ke dekha jo ai 'nasir'
qalb-o-nigah husn ke sanche mein Dhal gae
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 824)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.