aa jamal-e-dost be-parda hamare dil mein aa
aa jamāl-e-dost be-parda hamāre dil meñ aa
tū nahīñ jis meñ usī ujḌī huī manzil meñ aa
kal hue the tūr-o-mūsā zauq-e-arenī kā shikār
aaj ai barq-e-tajallī phir hamāre dil meñ aa
'aish kā ḳhāliq bhī tū andoh kā ḳhāliq bhī tū
hāsil-e-ummīd ban kar kāsa-e-sā.il meñ aa
jo na ho āsān bandoñ se use āsān kar
jo baḌī mushkil ho maulā tū usī mushkil meñ aa
jazba-e-ḳhāmosh ko phir jur.at-e-guftār de
ārzū-e-dīd ban kar phir hamāre dil meñ aa
jām-e-dil kaif-e-sharāb-e-nūr se mā’mūr kar
ai ujāle ’arsh-e-ā’zm ke añdhere dil meñ aa
dil se ab tāb-e-firāq-o-zabt ruḳhsat ho ga.ī
husn vāloñ ke ḳhudā 'ishq ke hāmil meñ aa
nahnu-o-'aqrab kī sadā se raqs meñ aa.e lahū
ruuh ban kar mauja-e-ḳhūn-e-rag-e-bismil meñ aa
naza.a kī mushkil meñ huuñ maiñ aur bahut be-iḳhtiyār
ai mire mushkil-kushā tū hī mirī mushkil meñ aa
phir mohabbat hai butoñ kī aur musalmānoñ ke dil
partav-e-husn-e-azal phir un ke kāfir dil meñ aa
kashtī-e-islām hai aur turra-e-ummīd-o-bīm
nā-ḳhudāoñ ke ḳhudā is kashtī-o-sāhil meñ aa
har taraf se haq pe bātil kī chaḌhā.ī aaj hai
teġh-e-haq ban kar zarā jañg-e-haq-o-bātil meñ aa
imtihāñ kā vaqt hai īmān duuñ yā jaan duuñ
maiñ baḌī mushkil meñ huuñ maulā mirī mushkil meñ aa
rañg-e-’isyāñ se bahut dhuñdlā hai ab ye ā.īna
'aks jalva ban ke qalb ‘māhir’-e-kāmil meñ aa
aa jamal-e-dost be-parda hamare dil mein aa
tu nahin jis mein usi ujDi hui manzil mein aa
kal hue the tur-o-musa zauq-e-areni ka shikar
aaj ai barq-e-tajalli phir hamare dil mein aa
'aish ka KHaliq bhi tu andoh ka KHaliq bhi tu
hasil-e-ummid ban kar kasa-e-sail mein aa
jo na ho aasan bandon se use aasan kar
jo baDi mushkil ho maula tu usi mushkil mein aa
jazba-e-KHamosh ko phir jurat-e-guftar de
aarzu-e-did ban kar phir hamare dil mein aa
jam-e-dil kaif-e-sharab-e-nur se ma’mur kar
ai ujale ’arsh-e-a’zm ke andhere dil mein aa
dil se ab tab-e-firaq-o-zabt ruKHsat ho gai
husn walon ke KHuda 'ishq ke hamil mein aa
nahnu-o-'aqrab ki sada se raqs mein aae lahu
ruh ban kar mauja-e-KHun-e-rag-e-bismil mein aa
naza ki mushkil mein hun main aur bahut be-iKHtiyar
ai mere mushkil-kusha tu hi meri mushkil mein aa
phir mohabbat hai buton ki aur musalmanon ke dil
partaw-e-husn-e-azal phir un ke kafir dil mein aa
kashti-e-islam hai aur turra-e-ummid-o-bim
na-KHudaon ke KHuda is kashti-o-sahil mein aa
har taraf se haq pe baatil ki chaDhai aaj hai
tegh-e-haq ban kar zara jang-e-haq-o-baatil mein aa
imtihan ka waqt hai iman dun ya jaan dun
main baDi mushkil mein hun maula meri mushkil mein aa
rang-e-’isyan se bahut dhundla hai ab ye aaina
'aks jalwa ban ke qalb ‘mahir’-e-kaamil mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.