gum-karda karwan hun manzil ki tamanna hai
Interesting Fact
مینا راہی قوالہ نے اسے آواز دی ہے۔
gum-karda kārvāñ huuñ manzil kī tamannā hai
maujoñ ke thappaḌoñ meñ sāhil kī tamannā hai
yuuñ to har ek mahfil meñ dekhā hai husn-e-jānāñ
jis dil meñ tum base ho us dil kī tamannā hai
ai kātib-e-mohabbat taqdīr meñ ye likh de
mushkil se nikal jaa.e mushkil kī tamannā hai
phir vo hasīn saa.e gesū-e-yār dekheñ
is kashmakash meñ mere qātil kī tamannā hai
hairān huuñ karūñ kyā 'māhir' maiñ ġham-e-dil ko
hañgāma bapā kar de is dil kī tamannā hai
gum-karda karwan hun manzil ki tamanna hai
maujon ke thappaDon mein sahil ki tamanna hai
yun to har ek mahfil mein dekha hai husn-e-jaanan
jis dil mein tum base ho us dil ki tamanna hai
ai katib-e-mohabbat taqdir mein ye likh de
mushkil se nikal jae mushkil ki tamanna hai
phir wo hasin sae gesu-e-yar dekhen
is kashmakash mein mere qatil ki tamanna hai
hairan hun karun kya 'mahir' main gham-e-dil ko
hangama bapa kar de is dil ki tamanna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.