paiman-shikan buton ki allah re adaen
paimāñ-shikan butoñ kī allāh re adā.eñ
lafzoñ ko yaad rakheñ mafhūm bhuul jaa.eñ
Dartā huuñ rafta-rafta fariyād ban na jaa.eñ
TuuTī huī ummīdeñ bhaTkī huī nigāheñ
maiñ ne hī kuchh na samjhā merī nahīñ ḳhatā.eñ
do dil kī dhaḌkanoñ se dete rahe sadā.eñ
merā siyāh-ḳhāna kuchh is qadar thā raushan
kuchh sham.a jagmagā.e kuchh aap muskurā.eñ
vo niiñd se uThīñ haiñ añgḌā.ī ke sahāre
Duube hue sitāre phir se ubhar na aa.eñ
dard-e-sitam sukūñ kī had se guzar chukī hai
ab aap dard-e-dil kī taskīn ko na aa.eñ
muddat se maiñ 'māhir' nākām-e-ārzū huuñ
kab tak qubūl hoñgī dekho mirī duā.eñ
paiman-shikan buton ki allah re adaen
lafzon ko yaad rakhen mafhum bhul jaen
Darta hun rafta-rafta fariyaad ban na jaen
TuTi hui ummiden bhaTki hui nigahen
main ne hi kuchh na samjha meri nahin KHataen
do dil ki dhaDkanon se dete rahe sadaen
mera siyah-KHana kuchh is qadar tha raushan
kuchh shama jagmagae kuchh aap muskuraen
wo nind se uThin hain angDai ke sahaare
Dube hue sitare phir se ubhar na aaen
dard-e-sitam sukun ki had se guzar chuki hai
ab aap dard-e-dil ki taskin ko na aaen
muddat se main 'mahir' nakaam-e-arzu hun
kab tak qubul hongi dekho meri duaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.