rahmat ko unki josh mein lane ki der hai
rahmat ko un kī josh meñ laane kī der hai
ya.anī sar-e-niyāz jhukāne kī der hai
piine kī der hai na pilāne kī der hai
saaqī ke bas nigāh uThāne kī der hai
parvāne aahī jā.eñge khiñch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil meñ sirf sham.a jalāne kī der hai
āñkhoñ meñ dam hai āḳhrī hichkī kā vaqt hai
au be-niyāz bas tire aane kī der hai
ḳhud muztarib haiñ bāda-o-sāġhar kī jhalkiyāñ
saaqī kī samt haath baḌhāne kī der hai
vo bhī taḌap na jaa.eñ to is āshiqī par ḳhaak
mujh se faqat nigāh milāne kī der hai
jām-e-sharāb mast-ghaTā mutrib-o-bahār
sab aa chuke haiñ aap ke aane kī der hai
chilman kī bandishoñ meñ vo shāhid na ruk sakīñ
'māhir' ke sirf sher sunāne kī der hai
rahmat ko un ki josh mein lane ki der hai
yani sar-e-niyaz jhukane ki der hai
pine ki der hai na pilane ki der hai
saqi ke bas nigah uThane ki der hai
parwane aahi jaenge khinch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil mein sirf shama jalane ki der hai
aankhon mein dam hai aaKHri hichki ka waqt hai
au be-niyaz bas tere aane ki der hai
KHud muztarib hain baada-o-saghar ki jhalkiyan
saqi ki samt hath baDhane ki der hai
wo bhi taDap na jaen to is aashiqi par KHak
mujh se faqat nigah milane ki der hai
jam-e-sharab mast-ghaTa mutrib-o-bahaar
sab aa chuke hain aap ke aane ki der hai
chilman ki bandishon mein wo shahid na ruk sakin
'mahir' ke sirf sher sunane ki der hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.