wo tere haal se ghafil-e-dil nashad nahin
vo tire haal se ġhāfil-e-dil nāshād nahīñ
vo ye kahte haiñ mujhe fursat-e-bedād nahīñ
muskurāte hue phūloñ ne kahā shabnam se
fitrat-e-ġham se yahāñ koī bhī āzād nahīñ
maiñ ki ḳhud apnī jagah par bhī nahīñ huuñ maujūd
vo ki har-jā haiñ va-lekin kahīñ ābād nahīñ
merī har baat pe chehra mutaġhayyar kyuuñ hai
tum to kahte the koī baat mujhe yaad nahīñ
jaane kyā us kī nigāhoñ ne fusūñ phūñk diyā
dil kisī tarah bhī āmāda-e-fariyād nahīñ
maiñ taḌaptā huuñ faqat lutf kī ḳhātir 'māhir'
vo samajhte haiñ ki dil tishna-e-be-dād nahīñ
wo tere haal se ghafil-e-dil nashad nahin
wo ye kahte hain mujhe fursat-e-bedad nahin
muskuraate hue phulon ne kaha shabnam se
fitrat-e-gham se yahan koi bhi aazad nahin
main ki KHud apni jagah par bhi nahin hun maujud
wo ki har-ja hain wa-lekin kahin aabaad nahin
meri har baat pe chehra mutaghayyar kyun hai
tum to kahte the koi baat mujhe yaad nahin
jaane kya us ki nigahon ne fusun phunk diya
dil kisi tarah bhi aamada-e-fariyaad nahin
main taDapta hun faqat lutf ki KHatir 'mahir'
wo samajhte hain ki dil tishna-e-be-dad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.