jo nazar kaamyab hoti hai
jo nazar kāmyāb hotī hai
aap apnā javāb hotī hai
zindagī jab azaab hotī hai
āshiqī kāmyāb hotī hai
tere aage latāfat-e-shabnam
sharm se aab aab hotī hai
rokiye apnī mast nazroñ ko
saarī duniyā ḳharāb hotī hai
jis surāhī ko chhū liyā tuune
ġhairat-e-āftāb hotī hai
yuuñ na maujoñ se khel ai ġhāfil
zindagānī habāb hotī hai
is chaman kī bahār kyā kahnā
pañkhuḌī bhī gulāb hotī hai
tujh se zālim ko pyaar karatā hai
jis kī qismat ḳharāb hotī hai
baḌhte jaate haiñ un ke ruḳh ke naqāb
har nazar ik hijāb hotī hai
naaz hai dil kī bekalī pe mujhe
shoḳhiyoñ kā javāb hotī hai
mast āñkhoñ kā dhyān aatā hai
sāmne jab sharāb hotī hai
un ke āshiq kī zindagī 'māhir'
kitnī nā-kāmyāb hotī hai
jo nazar kaamyab hoti hai
aap apna jawab hoti hai
zindagi jab azab hoti hai
aashiqi kaamyab hoti hai
tere aage latafat-e-shabnam
sharm se aab aab hoti hai
rokiye apni mast nazron ko
sari duniya KHarab hoti hai
jis surahi ko chhu liya tune
ghairat-e-aftab hoti hai
yun na maujon se khel ai ghafil
zindagani habab hoti hai
is chaman ki bahaar kya kahna
pankhuDi bhi gulab hoti hai
tujh se zalim ko pyar karata hai
jis ki qismat KHarab hoti hai
baDhte jate hain un ke ruKH ke naqab
har nazar ek hijab hoti hai
naz hai dil ki bekali pe mujhe
shoKHiyon ka jawab hoti hai
mast aankhon ka dhyan aata hai
samne jab sharab hoti hai
un ke aashiq ki zindagi 'mahir'
kitni na-kaamyab hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.