wo ‘arbada jo masum ada qatil bhi hai aur qatil bhi nahin
wo ‘arbada jo masum ada qatil bhi hai aur qatil bhi nahin
Mahirul Qadri
MORE BYMahirul Qadri
vo ‘arbada jo ma.asūm adā qātil bhī hai aur qātil bhī nahīñ
dil us kī adā-e-sādā kā bismil bhī hai aur bismil bhī nahīñ
va.ade pe nahīñ aatā sach hai par yaad to us ko aatī hai
us jān-e-mohabbat kā va.ada bātil bhī hai aur bātil bhī nahīñ
dekho to har ik se begāna samjho to kisī kā dīvāna
dil yaar kī bazm-e-ishrat meñ shāmil bhī hai aur shāmil bhī nahīñ
zāhir meñ har ik shai par qabza bātin meñ na zarra bhī bas kā
duniyā meñ hamārī hastī kā hāsil bhī hai aur hāsil bhī nahīñ
har dil hai nasheman kāshāna us par bhī tabāh-o-vīrāna
us jān-e-jahāñ ke jalvoñ kī manzil bhī hai aur manzil bhī nahīñ
dīvāna magar ahal-e-irfāñ tārīk magar mahr-e-tābāñ
dil terī nigāh-e-ulfat ke qābil bhī hai aur kābul bhī nahīñ
īqān-e-tazabzub kā zaḳhmī irfāñ kī shu'ā.en dhundlī sī
duniyā tirī raushan hastī kī qaa.il bhī hai aur qaa.il bhī nahīñ
hai jazba-e-kāmil ke dam tak nazzāre kī ye firdaus-garī
ai qais bagūlā sahrā kā mahmil bhī hai aur mahmil bhī nahīñ
'irfān-e-ḳhudī hai ain-e-baqā ehsās-e-ḳhudī paiġhām-e-fanā
hastī mirī rāh-e-ulfat meñ haa.il bhī hai aur haa.il bhī nahīñ
jo Duub gayā vo paar utrā jo sat.h pe thā vo tar na sakā
dariyā-e-mohabbat kā 'māhir' sāhil bhī hai aur sāhil bhī nahīñ
wo ‘arbada jo masum ada qatil bhi hai aur qatil bhi nahin
dil us ki ada-e-sada ka bismil bhi hai aur bismil bhi nahin
wade pe nahin aata sach hai par yaad to us ko aati hai
us jaan-e-mohabbat ka wada baatil bhi hai aur baatil bhi nahin
dekho to har ek se begana samjho to kisi ka diwana
dil yar ki bazm-e-ishrat mein shamil bhi hai aur shamil bhi nahin
zahir mein har ek shai par qabza baatin mein na zarra bhi bas ka
duniya mein hamari hasti ka hasil bhi hai aur hasil bhi nahin
har dil hai nasheman kashana us par bhi tabah-o-virana
us jaan-e-jahan ke jalwon ki manzil bhi hai aur manzil bhi nahin
diwana magar ahal-e-irfan tarik magar mahr-e-taban
dil teri nigah-e-ulfat ke qabil bhi hai aur kabul bhi nahin
iqan-e-tazabzub ka zaKHmi irfan ki shu'aen dhundli si
duniya teri raushan hasti ki qail bhi hai aur qail bhi nahin
hai jazba-e-kaamil ke dam tak nazzare ki ye firdaus-gari
ai qais bagula sahra ka mahmil bhi hai aur mahmil bhi nahin
'irfan-e-KHudi hai ain-e-baqa ehsas-e-KHudi paigham-e-fana
hasti meri rah-e-ulfat mein hail bhi hai aur hail bhi nahin
jo Dub gaya wo par utra jo sath pe tha wo tar na saka
dariya-e-mohabbat ka 'mahir' sahil bhi hai aur sahil bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.