etibar-e-bandagi ko tabkai ruswa karen
e'tibār-e-bandagī ko tābkai rusvā kareñ
aao un ke āstāñ par āḳhirī sajda kareñ
un ke bīmār-e-mohabbat kaahe ko shikvā kareñ
vo agar thoḌī sī bhī taklīf farmāyā kareñ
tā-kujā ba-gardish-e-shām-o-sahar dekhā kareñ
ai nigāh-e-shauq ik duniyā na.ī paidā kareñ
apnā ye maqdūr hī kab hai tujhe rusvā kareñ
dard-e-āñsū ban ke zāhir ho to us ko kyā kareñ
aah par ḳhafagī munāsib ashk par ta.ane bajā
kaash vo be-tābī-e-dil kā bhī andāzā kareñ
jazba-e-mansūr to apnā fasāna kah gayā
ab use ahl-e-jahāñ jis tarah bhī samjhā kareñ
ishq meñ un kī navāzish kā sahārā kiyā zarūr
Dūbnā Thahrā to sāhil kī tamannā kyā kareñ
sub.h hote hī na jaane kaun detā hai payām
is kī būñdeñ kiran meñ jazb ho jaayā kareñ
kaash ab is silsila kī lae na TuuTe hashr tak
mere ḳhat jaayā kareñ un ke payām aayā kareñ
sab kī āñkhoñ se chhupā kar aao sab kuchh dekh leñ
chashm nargis ban ke is duniyā kā nazāra kareñ
ai mire josh-e-junūñ ab aur koī mashġhala
dāmanoñ kī dhajjiyoñ se kab tak khelā kareñ
hazrat-e-nāseh mohabbat nashsha-e-sahbā nahīñ
aap samjhāte haiñ 'māhir' ko to samjhāyā kareñ
e'tibar-e-bandagi ko tabkai ruswa karen
aao un ke aastan par aaKHiri sajda karen
un ke bimar-e-mohabbat kahe ko shikwa karen
wo agar thoDi si bhi taklif farmaya karen
ta-kuja ba-gardish-e-sham-o-sahar dekha karen
ai nigah-e-shauq ek duniya nai paida karen
apna ye maqdur hi kab hai tujhe ruswa karen
dard-e-ansu ban ke zahir ho to us ko kya karen
aah par KHafagi munasib ashk par tane baja
kash wo be-tabi-e-dil ka bhi andaza karen
jazba-e-mansur to apna fasana kah gaya
ab use ahl-e-jahan jis tarah bhi samjha karen
ishq mein un ki nawazish ka sahaara kiya zarur
Dubna Thahra to sahil ki tamanna kya karen
subh hote hi na jaane kaun deta hai payam
is ki bunden kiran mein jazb ho jaya karen
kash ab is silsila ki lae na TuTe hashr tak
mere KHat jaya karen un ke payam aaya karen
sab ki aankhon se chhupa kar aao sab kuchh dekh len
chashm nargis ban ke is duniya ka nazara karen
ai mere josh-e-junun ab aur koi mashghala
damanon ki dhajjiyon se kab tak khela karen
hazrat-e-naseh mohabbat nashsha-e-sahba nahin
aap samjhate hain 'mahir' ko to samjhaya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.