barha teri nawazish ne jise tham liya
bārhā terī navāzish ne jise thaam liyā
is ne kuchh soch ke phir aaj tarah naam liyā
dekh kar us kī pashemānī nigāheñ sar hashr
maiñ ne ḳhud apne hī sar qatl kā ilzām liyā
nabz dil Dūbtī jaatī hai tabī.at hai niDhāl
mujh se phir dard-e-mohabbat ne koī kaam liyā
chal chukā thāme gul-rañg kā mujh par jaadū
aap kī mast nigāhoñ ne magar thaam liyā
har kara.ī apnī jagah ek na.ī dhun meñ hai
aap ne husn-e-taġhāful se baḌā kaam liyā
dāġh-e-dil soz-e-jigar ḳhūn-e-vafā dard-e-firāq
dar gah-e-husn se har baar kuchh in.aam liyā
aaj kiyā aisī na.ī baat hai 'māhir' tum ne
kāñpte haath se jām-e-mai-e-gul-fām liyā
barha teri nawazish ne jise tham liya
is ne kuchh soch ke phir aaj tarah nam liya
dekh kar us ki pashemani nigahen sar hashr
main ne KHud apne hi sar qatl ka ilzam liya
nabz dil Dubti jati hai tabiat hai niDhaal
mujh se phir dard-e-mohabbat ne koi kaam liya
chal chuka thame gul-rang ka mujh par jadu
aap ki mast nigahon ne magar tham liya
har karai apni jagah ek nai dhun mein hai
aap ne husn-e-taghaful se baDa kaam liya
dagh-e-dil soz-e-jigar KHun-e-wafa dard-e-firaq
dar gah-e-husn se har bar kuchh inam liya
aaj kiya aisi nai baat hai 'mahir' tum ne
kanpte hath se jam-e-mai-e-gul-fam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.