ye kyun kahun ki lagi aag aashiyane ko
ye kyuuñ kahūñ ki lagī aag āshiyāne ko
kiyā hai barq ne raushan siyāh-ḳhāne ko
sharāb naġhma javānī ghaTā.eñ mausam-e-gul
sadā.eñ vo mire guzre hue zamāne ko
bhare chaman meñ bas ik us vaqf-e-mātam hai
samajh rahī hai jo kaliyoñ ke muskurāne ko
ye roz roz kī mashq-e-sujūd ḳhatm to ho
jabīñ meñ jazb hī kar luuñ na āstāne ko
qafas meñ bhī na kahīñ bijliyoñ kī yūrish ho
banā rahā huuñ tasavvur meñ āshiyāne ko
ye be-ḳhudī hai tirī mast añkhḌiyoñ kī qasam
ki riñd bhuul ga.e haiñ sharāb ḳhāne ko
guzar rahī hai kuchh is Dhab se zindagī 'māhir'
ki jaise merī zarūrat nahīñ zamāne ko
ye kyun kahun ki lagi aag aashiyane ko
kiya hai barq ne raushan siyah-KHane ko
sharab naghma jawani ghaTaen mausam-e-gul
sadaen wo mere guzre hue zamane ko
bhare chaman mein bas ek us waqf-e-matam hai
samajh rahi hai jo kaliyon ke muskurane ko
ye roz roz ki mashq-e-sujud KHatm to ho
jabin mein jazb hi kar lun na aastane ko
qafas mein bhi na kahin bijliyon ki yurish ho
bana raha hun tasawwur mein aashiyane ko
ye be-KHudi hai teri mast ankhDiyon ki qasam
ki rind bhul gae hain sharab KHane ko
guzar rahi hai kuchh is Dhab se zindagi 'mahir'
ki jaise meri zarurat nahin zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.