wo aa raha hai kaif ki jannat liye hue
vo aa rahā hai kaif kī jannat liye hue
har jumbish-e-nigāh meñ ishrat liye hue
maiñ huuñ vo naqsh jis ko miTāyā hai dahr ne
duniyā hai mere ḳhuun kī tohmat liye hue
phirtī hai terī yaad bhī kis kis maze ke saath
dil kī ragoñ meñ nashtar-e-ulfat liye hue
aayā huuñ bhiik māñgne ai sakinān-e-dahr
kiyā hai koī sukūn kī daulat liye hue
haañ mast añkhḌiyoñ kī qasam tujh ko aa bhī jā
āñkhoñ meñ sharāb-e-mohabbat liye hue
mahshar meñ shān-e-'afv kī dilchaspiyāñ na pūchh
zāhid bhī hai gunāh kī hasrat liye hue
ai jabar-e-dost laġhzish-e-‘māhir’ se dar-guzar
aayā huuñ iḳhtiyār kī tohmat liye hue
wo aa raha hai kaif ki jannat liye hue
har jumbish-e-nigah mein ishrat liye hue
main hun wo naqsh jis ko miTaya hai dahr ne
duniya hai mere KHun ki tohmat liye hue
phirti hai teri yaad bhi kis kis maze ke sath
dil ki ragon mein nashtar-e-ulfat liye hue
aaya hun bhik mangne ai sakinan-e-dahr
kiya hai koi sukun ki daulat liye hue
han mast ankhDiyon ki qasam tujh ko aa bhi ja
aankhon mein sharab-e-mohabbat liye hue
mahshar mein shan-e-'afw ki dilchaspiyan na puchh
zahid bhi hai gunah ki hasrat liye hue
ai jabar-e-dost laghzish-e-‘mahir’ se dar-guzar
aaya hun iKHtiyar ki tohmat liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.