masti-nawaz shoKHi andaz-e-kafirana
mastī-navāz shoḳhī andāz-e-kāfirāna
zulfeñ siyah-ghaTā.eñ āñḳheñ sharāb-ḳhāna
ab us se chāhtā hai phir aur kyā zamāna
jis ne luTā diyā hai ummīd kā ḳhazāna
pūchho na ham-nashīno mujh se mirā fasāna
jaltā rahā nasheman dekhā kaisā zamāna
kis dhun meñ gā rahī hai au zindagī tarāna
āvāz de rahā hai guzrā huā zamāna
saaqī tirī nazar kā allāh re fasāna
sāġhar meñ āgayā hai khiñch kar sharāb-ḳhāna
naqsh-e-qadam pe saarī duniyā jhukī huī hai
zālim tirī ḳhudā.ī kāfir tirā zamāna
aa ai nigār-e-fitrat rūh-o-ravān-e-ulfat
suunā paḌā huā hai dil kā nigār-ḳhāna
ik turbat-e-shikasta nazroñ ke sāmne hai
vo yaad kar rahe haiñ bhūlā huā fasāna
sajdoñ kā vāsta bhī haa.il nahīñ rahā hai
ab maiñ huuñ aur tum ho sar hai na āstāna
ab āñdhiy.oñ ke jhoñke us ko uḌā rahe haiñ
phūloñ meñ tul rahā thā kal tak jo āshiyāna
chhuTte hī phir qafas se laayā gayā qafas meñ
mujh ko na raas aayā gulshan kā āb-o-dānā
allāh re chaman kā zīnat-tarāz manzar
shāḳhoñ kī Doriyāñ haiñ phūloñ kā shāmiyāna
ik dil bhī aaj qāyam apnī jagah nahīñ hai
mumkin hai chuuk jaa.e qātil tirā nishāna
mil jaa.e mujh ko māhir ai kaash zindagī meñ
ik jazb-e-vālhāna ik soz-e-'ārifāna
masti-nawaz shoKHi andaz-e-kafirana
zulfen siyah-ghaTaen aanKHen sharab-KHana
ab us se chahta hai phir aur kya zamana
jis ne luTa diya hai ummid ka KHazana
puchho na ham-nashino mujh se mera fasana
jalta raha nasheman dekha kaisa zamana
kis dhun mein ga rahi hai au zindagi tarana
aawaz de raha hai guzra hua zamana
saqi teri nazar ka allah re fasana
saghar mein aagaya hai khinch kar sharab-KHana
naqsh-e-qadam pe sari duniya jhuki hui hai
zalim teri KHudai kafir tera zamana
aa ai nigar-e-fitrat ruh-o-rawan-e-ulfat
suna paDa hua hai dil ka nigar-KHana
ek turbat-e-shikasta nazron ke samne hai
wo yaad kar rahe hain bhula hua fasana
sajdon ka wasta bhi hail nahin raha hai
ab main hun aur tum ho sar hai na aastana
ab aandhiyon ke jhonke us ko uDa rahe hain
phulon mein tul raha tha kal tak jo aashiyana
chhuTte hi phir qafas se laya gaya qafas mein
mujh ko na ras aaya gulshan ka aab-o-dana
allah re chaman ka zinat-taraaz manzar
shaKHon ki Doriyan hain phulon ka shamiyana
ek dil bhi aaj qayam apni jagah nahin hai
mumkin hai chuk jae qatil tera nishana
mil jae mujh ko mahir ai kash zindagi mein
ek jazb-e-walhana ek soz-e-'arifana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.