har sar hai teri zulf ka sauda liye hue
har sar hai terī zulf kā saudā liye hue
sub.h-e-haram hai shām-e-kalīsā liye hue
merī nigāh-e-ijz tamāsha liye hue
thā har nazar meñ tuur kā jalva liye hue
bīmār-e-hijr niiñd qiyāmat kī so gayā
āñkhoñ meñ intizār kī duniyā liye hue
au sāhib-e-nazar nigah-e-yak-nagar se dekh
qatra bhī hai haqīqat-e-dariyā liye hue
aayā huuñ aaj maiñ bhī tirī jalva-gāh meñ
dhuñdlā sā ek naqsh-e-tamannā liye hue
au be-vafā fareb aur aisā khulā fareb
va.ade haiñ e'tibār kī duniyā liye hue
ai dost chāk-e-dāman yūsuf kā vāsta
aa jā kabhī to dast-e-zuleḳhā liye hue
saaqī kī chashm-e-mast ne phir laḌkhaḌā diyā
uThā thā laġhzishoñ kā sahārā liye hue
'māhir' hai is ke sāmne ka.aba bhī sajda rez
jo dil hai aks-e-gumbad-e-kHizra liye hue
har sar hai teri zulf ka sauda liye hue
subh-e-haram hai sham-e-kalisa liye hue
meri nigah-e-ijz tamasha liye hue
tha har nazar mein tur ka jalwa liye hue
bimar-e-hijr nind qiyamat ki so gaya
aankhon mein intizar ki duniya liye hue
au sahib-e-nazar nigah-e-yak-nagar se dekh
qatra bhi hai haqiqat-e-dariya liye hue
aaya hun aaj main bhi teri jalwa-gah mein
dhundla sa ek naqsh-e-tamanna liye hue
au be-wafa fareb aur aisa khula fareb
wade hain e'tibar ki duniya liye hue
ai dost chaak-e-daman yusuf ka wasta
aa ja kabhi to dast-e-zuleKHa liye hue
saqi ki chashm-e-mast ne phir laDkhaDa diya
uTha tha laghzishon ka sahaara liye hue
'mahir' hai is ke samne kaba bhi sajda rez
jo dil hai aks-e-gumbad-e-kHizra liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.