dar-haqiqat inqilab-e-zindagi eajaz hai
dar-haqīqat inqilāb-e-zindagī e.ajāz hai
zarra zarra ḳhāk-e-hastī kā jahān-e-rāz hai
intihā-e-dard-e-dil hai ibtidā-e-ārzū
maut kahte haiñ jise vo ishq kā āġhāz hai
ho chukī bīmar-e-ulfat ko tasallī ho chukī
ek duzdīda nazar vo bhī ġhalat-andāz hai
aap ne jo kuchh kyā achchhā kyā maiñ kyā kahūñ
faisla duniyā karegī kaun duniyā-sāz hai
be-nishānī kā ye a.alam hai nishāñ miltā nahīñ
hastī-e-mauhūm goyā daur kī āvāz hai
uf vo dard-e-dil mudāvā jis kā ho saktā nahīñ
haaye vo bīmār jis kā dard chārasāz hai
Dar rahā huuñ husn-o-ulfat meñ tasādum ho na jaa.e
sāmne nazroñ ke 'māhir' ik sarāpā naaz hai
dar-haqiqat inqilab-e-zindagi eajaz hai
zarra zarra KHak-e-hasti ka jahan-e-raaz hai
intiha-e-dard-e-dil hai ibtida-e-arzu
maut kahte hain jise wo ishq ka aaghaz hai
ho chuki bimar-e-ulfat ko tasalli ho chuki
ek duzdida nazar wo bhi ghalat-andaz hai
aap ne jo kuchh kya achchha kya main kya kahun
faisla duniya karegi kaun duniya-saz hai
be-nishani ka ye aalam hai nishan milta nahin
hasti-e-mauhum goya daur ki aawaz hai
uf wo dard-e-dil mudawa jis ka ho sakta nahin
haye wo bimar jis ka dard chaarasaz hai
Dar raha hun husn-o-ulfat mein tasadum ho na jae
samne nazron ke 'mahir' ek sarapa naz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.