agar fitrat ka har andaz be-bakana ho jae
agar fitrat kā har andāz be-bākāna ho jaa.e
hujūm-e-rañg-o-bū se aadmī dīvāna ho jaa.e
karam kaisā sitam se bhī na vo begāna ho jaaye
maiñ Dartā huuñ mohabbat meñ kahīñ aisā na ho jaaye
mujhe is anjuman meñ baar pākar ab ye ḳhadsha hai
mirā andāz-e-betābī na gustāḳhāna ho jaa.e
nigāh-e-mast saaqī ik tilism-e-rañg-o-mastī hai
kahīñ paimāna ban jaaye kahīñ mai-ḳhāna ho jaaye
samajh kar hosh se begāna honā bhī hai nā-dānī
vo aaqil hai jo be-samjhe hue dīvāna ho jaaye
yañh bhī kuchh nigāheñ tishna-e-dīdār haiñ saaqī
idhar bhī ek daur-e-nargis-e-mastāna ho jaaye
maiñ kahtā huuñ na tum paiġhām bhejo apne aane kā
usī dhoke meñ bīmār-e-alam achchhā na ho jaaye
maiñ is mahfil kī tohmat kis tarah āḳhir uThā.ūñgā
ḳhamoshī bhī jahāñ afsāna-dar-afsāna ho jaaye
naqāb ulTe hue ik roz gar vo ḳhud chale aa.eñ
siyah-ḳhāna mirā 'māhir' tajallī-ḳhāna ho jaaye
agar fitrat ka har andaz be-bakana ho jae
hujum-e-rang-o-bu se aadmi diwana ho jae
karam kaisa sitam se bhi na wo begana ho jaye
main Darta hun mohabbat mein kahin aisa na ho jaye
mujhe is anjuman mein bar pakar ab ye KHadsha hai
mera andaz-e-betabi na gustaKHana ho jae
nigah-e-mast saqi ek tilism-e-rang-o-masti hai
kahin paimana ban jaye kahin mai-KHana ho jaye
samajh kar hosh se begana hona bhi hai na-dani
wo aaqil hai jo be-samjhe hue diwana ho jaye
yanh bhi kuchh nigahen tishna-e-didar hain saqi
idhar bhi ek daur-e-nargis-e-mastana ho jaye
main kahta hun na tum paigham bhejo apne aane ka
usi dhoke mein bimar-e-alam achchha na ho jaye
main is mahfil ki tohmat kis tarah aaKHir uThaunga
KHamoshi bhi jahan afsana-dar-afsana ho jaye
naqab ulTe hue ek roz gar wo KHud chale aaen
siyah-KHana mera 'mahir' tajalli-KHana ho jaye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.