unki nigah-e-mast se maKHmur ho gae
un kī nigāh-e-mast se maḳhmūr ho ga.e
itne hue qarīb ki ham duur ho ga.e
aayā shabāb aur vo maġhrūr ho ga.e
apne nasha meñ aap hī vo chuur ho ga.e
kuchh ham bhī ro.ab-e-husn se jur.at na kar sake
kuchh vo bhī pās-e-sharam se majbūr ho ga.e
un ke karam ne dāġh-e-tamannā atā kiye
ham bhī jahāñ meñ sāhib-e-maqdūr ho ga.e
us dil ke iltifāt ne ġhārat kyā mujhe
vo be-niyāz ban ga.e maġhrūr ho ga.e
'māhir' vo aa.e qismat-e-manzil chamak uThī
zarre faroġh-e-nūr se ma.amūr ho ga.e
un ki nigah-e-mast se maKHmur ho gae
itne hue qarib ki hum dur ho gae
aaya shabab aur wo maghrur ho gae
apne nasha mein aap hi wo chur ho gae
kuchh hum bhi roab-e-husn se jurat na kar sake
kuchh wo bhi pas-e-sharam se majbur ho gae
un ke karam ne dagh-e-tamanna ata kiye
hum bhi jahan mein sahib-e-maqdur ho gae
us dil ke iltifat ne ghaarat kya mujhe
wo be-niyaz ban gae maghrur ho gae
'mahir' wo aae qismat-e-manzil chamak uThi
zarre farogh-e-nur se mamur ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.