ishq ki zindagi ko kya kahiye
ishq kī zindagī ko kyā kahiye
apnī qismat kisī ko kyā kahiye
un laboñ kī hañsī ko kyā kahiye
phuul kī pañkhuḌī ko kyā kahiye
ik zarā sī ummīd par ye haal
aadmī kī ḳhushī ko kyā kahiye
sāmne ashk rez hai shabnam
muskurātī kalī ko kyā kahiye
pursish-e-hāl-e-dil hai hañs hañs kar
us kī zālim hañsī ko kyā kahiye
husn par 'etimād-e-chārāgarī
ishq kī sādgī ko kyā kahiye
un kī chilman ko chhū rahī hai nigāh
jur.at-e-āshiqī ko kyā kahiye
mauj-e-bād-e-sabā bhī kaañp uThī
zulf kī barhamī ko kyā kahiye
un ke ruḳh par nazar nahīñ jamtī
chāñd kī raushnī ko kyā kahī.ye
vo pashemāñ ho ga.e 'māhir'
aap kī shā.irī ko kyā kahiye
ishq ki zindagi ko kya kahiye
apni qismat kisi ko kya kahiye
un labon ki hansi ko kya kahiye
phul ki pankhuDi ko kya kahiye
ek zara si ummid par ye haal
aadmi ki KHushi ko kya kahiye
samne ashk rez hai shabnam
muskuraati kali ko kya kahiye
pursish-e-haal-e-dil hai hans hans kar
us ki zalim hansi ko kya kahiye
husn par 'etimad-e-chaaragari
ishq ki sadgi ko kya kahiye
un ki chilman ko chhu rahi hai nigah
jurat-e-ashiqi ko kya kahiye
mauj-e-baad-e-saba bhi kanp uThi
zulf ki barhami ko kya kahiye
un ke ruKH par nazar nahin jamti
chand ki raushni ko kya kahiye
wo pasheman ho gae 'mahir'
aap ki shairi ko kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.