sach ye hai aish do-alam ki bhi parwa na karen
sach ye hai aish do-ālam kī bhī parvā na kareñ
vo jo tauhīn-e-ġham-e-yār gavārā na kareñ
dil kī dhaḌkan ko bhī ab kaam meñ laayā na kareñ
kyā is andāz se bhī tum ko pukārā na kareñ
vo agar mast nigāhoñ se ishāra na kareñ
un ke mai-ḳhvār kabhī hosh meñ aayā na kareñ
ho hī jā.egī kisī tarah shab-e-ġham kī sahar
aap mere liye taklīf gavārā na kareñ
abhī ummīd ko duniyā hai tasavvur kā fareb
dil kī duniyā ko abhī vo tah-o-bālā na kareñ
aur hañste haiñ mire hāl-e-pareshāñ pe hañseñ
aap ko sab hai ḳhabar aap to aisā na kareñ
nau-ba-nau rañg badaltī hai tajallī un kī
dekhne vaale nigāhoñ pe bharosa na kareñ
dard-e-dil aap kī āñkhoñ se ayaañ hai 'māhir'
is tarah aap koī raaz chhupāyā na kareñ
sach ye hai aish do-alam ki bhi parwa na karen
wo jo tauhin-e-gham-e-yar gawara na karen
dil ki dhaDkan ko bhi ab kaam mein laya na karen
kya is andaz se bhi tum ko pukara na karen
wo agar mast nigahon se ishaara na karen
un ke mai-KHwar kabhi hosh mein aaya na karen
ho hi jaegi kisi tarah shab-e-gham ki sahar
aap mere liye taklif gawara na karen
abhi ummid ko duniya hai tasawwur ka fareb
dil ki duniya ko abhi wo tah-o-baala na karen
aur hanste hain mere haal-e-pareshan pe hansen
aap ko sab hai KHabar aap to aisa na karen
nau-ba-nau rang badalti hai tajalli un ki
dekhne wale nigahon pe bharosa na karen
dard-e-dil aap ki aankhon se ayan hai 'mahir'
is tarah aap koi raaz chhupaya na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.