KHak ke kuchh muntashir zarron ko insan kar diya
ḳhaak ke kuchh muntashir zarroñ ko insāñ kar diyā
us ne jis jalve ko jab chāhā numāyāñ kar diyā
us ne hañs kar ḳhud hī zulfoñ ko pareshāñ kar diyā
maiñ ye samjhā maiñ ne qātil ko pashemāñ kar diyā
mausam-e-gul meñ ye kyā ai yād-e-jānāñ kar diyā
mere chāk-e-dil ko phūloñ kā garebāñ kar diyā
nā-umīdī ke charāġhoñ ko farozāñ kar diyā
us ne dil kī āḳhrī mushkil ko āsāñ kar diyā
ḳhaak ke parde meñ insāñ ban ke zāhir hoga.ī
vo tajallī jis ne ā.īnoñ ko hairāñ kar diyā
ruḳh pe zulfeñ chhoḌ kar vo muskurā.e is tarah
kufr to phir kufr hai īmāñ ko īmāñ kar diyā
aah niklī thī ki dil kī aaḌ se aa.ī sadā
tū ne phir nādāñ shikast-e-'ahd-o-paimāñ kar diyā
ik payām-e-'ishq hai 'māhir' mirī fikr-e-suḳhan
sher ke parde meñ dard-e-dil numāyāñ kar diyā
KHak ke kuchh muntashir zarron ko insan kar diya
us ne jis jalwe ko jab chaha numayan kar diya
us ne hans kar KHud hi zulfon ko pareshan kar diya
main ye samjha main ne qatil ko pasheman kar diya
mausam-e-gul mein ye kya ai yaad-e-jaanan kar diya
mere chaak-e-dil ko phulon ka gareban kar diya
na-umidi ke charaghon ko farozan kar diya
us ne dil ki aaKHri mushkil ko aasan kar diya
KHak ke parde mein insan ban ke zahir hogai
wo tajalli jis ne aainon ko hairan kar diya
ruKH pe zulfen chhoD kar wo muskurae is tarah
kufr to phir kufr hai iman ko iman kar diya
aah nikli thi ki dil ki aaD se aai sada
tu ne phir nadan shikast-e-'ahd-o-paiman kar diya
ek payam-e-'ishq hai 'mahir' meri fikr-e-suKHan
sher ke parde mein dard-e-dil numayan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.